Sukhasan Kaise Kare Aur Benefits in Hindi

Yoga chit aur sharir ke beech mein samtulan banaye rakhta hai. Din bhar ke kaam ke baad jab aap thak gaye ho aur mansik tarah se pareshan ho to apne aap ko relax karne ke liye yog ek uttam tarika hai. Yogasan sabhi aasaan nahin hai. Meditation ke liye agar padmasan uchit hai to yeh kathin bhi hai magar sukhasan bahut aasaan hai aur har koi kar sakta hai. To aaiye jaane sukhasan kaise kare in Hindi aur uske fayde.
Sukhasan kaise kare
- Jamin par baith jaaye
- Ghutne se ek pair mod de
- Doosre pair ko bhi ghutne se mod de
- Dono aedi neeche jamin se lage rakhe. Padmasan ya ardh padmasan mein aedi ko jaangh ke upar chadhaya jaata hai. Sukhasan mein is ki jaroorat nahin hai. Jin ko flexibility kam hai un ke liye sukhasan aasaan hai.
- Haatho ko ghutno par rakhe aur hatheli upar ke taraf rakhe
- Kandhe aur reed ki haddi seedhi rakhe. Chaati ko bahar ki taraf rakhe
- Hips ko neeche ki taraf dabaye.
Dhyaan rakhe
- Yeh asan aap chair ya hard sofa par bhi baith ke kar sakte hai.
- Naak se hi saans le aur chode.
- Aankhe bandh rakh ke pranayam karne se aur fayda hoga
Sukhasan ke fayde
- Chitta aur man shaant hota hai
- Concentration powers badhta hai
- Tanav se mukti milti hai
- Reed ki haddi sambandhit taklif door ho jaate hai.
Saath mein dhyan karne se mansik taqat badhta hai
*** Ye Bhi Padhe ***
Dhyan Mudra : ध्यान मुद्रा कैसे करे और उसके लाभ
Balasana Kaise Kare aur Fayde in Hindi : बालसना कैसे करे और फायदे
Bhujangasan Kaise Kare : भुजंगासन कैसे करे और उसके फायदे
Dhanurasana Kaise Kare : धनुरासाना कैसे करे और उसके फायदे
Padma Mayurasana Kaise Kare : पद्मा मयूरसाना कैसे करे और उसके फायदे
Utthita Parsvakonasana Kaise Kare : उत्थिता परसवाकॉनसाना कैसे करे और उसके फायदे
Adho Mukha Svanasana Kaise Kare: अधो मुखा सवनआसना कैसे करे और फायदे
Adho Mukha Vrksasana Kaise Kare : अधो मुखा व्रक्सासना कैसे करे और फायदे
Anantasana Kaise Kare : अनंत आसान कैसे करे और फायदे
Ardha Matsyendrasana Kaise Kare : अर्ध-मत्स्येन्द्रासन कैसे करे और फायदे