Salabhasana Kaise Kare Aur Uske Fayde In Hindi

Sanskrit mein Salabh ka matlab hota hai locust ya tidda. Kyonki yeh asan ka appearance locust jaisa hai ise salabhasan kaha jaata hai. Aiye jaane salabhasana kaise kare in hindi aur salabhasan ke fayde.
Salabhasan kaise kare
- Pet ke bal let jaaye. Haath sharir se jude hone chahiye aur hatheli upar ki taraf rakhe. Aedi ko aise mode ki upar ke taraf rahe.
- Dono hatho ke kohne ko mod de apne kandho ke neeche, hatheli aage ki taraf rakhe.
- Ab pet aursar ko jamin se tika ke rakhe aur peeche se pair ho sake itna upar utha le. Pairo ko ghutno par modna nahin chahiye. Is position ko ho sake tab tak tikaye rakhe.
- Ab pairo ko dheeme se neeche tak le aaye.
- Ab haath ko vapas seedha kar de pehle ki tarah.
- Ap chahe to doosre tarike se bhi kar sakte hai. Is mein haatho ko aisa hi seedha rakhe aur peeche se apke pair ko hawa mein uthaye, ya to phir haatho ko jangho ke neeche rakhe aur pair uthaye.
Dhyan rakhe
- Ghutno ko kabhi bhi modna nahin chahiye
- Jab pair vaapas neeche karte ho to bilkul dheeme se kare, jhatke se nahin.
- Jinhe asthma (dama) ya rakt chaap ya dil ki bimari hai voh yeh asan na kare
Salabhasan ke fayde
Salabhasan ke fayde in hindi jaaniye:
- Salabhasan se pet ke muscles majboot bante hai
- Pachan kriya ke liye uttam hai yeh asan
- Yeh asan kabz mita deta hai
- Fefde tandurast aur majboot bante hai
*** Ye Bhi Padhe ***
Dhyan Mudra : ध्यान मुद्रा कैसे करे और उसके लाभ
Balasana Kaise Kare aur Fayde in Hindi : बालसना कैसे करे और फायदे
Bhujangasan Kaise Kare : भुजंगासन कैसे करे और उसके फायदे
Dhanurasana Kaise Kare : धनुरासाना कैसे करे और उसके फायदे
Padma Mayurasana Kaise Kare : पद्मा मयूरसाना कैसे करे और उसके फायदे
Utthita Parsvakonasana Kaise Kare : उत्थिता परसवाकॉनसाना कैसे करे और उसके फायदे
Adho Mukha Svanasana Kaise Kare: अधो मुखा सवनआसना कैसे करे और फायदे
Adho Mukha Vrksasana Kaise Kare : अधो मुखा व्रक्सासना कैसे करे और फायदे
Anantasana Kaise Kare : अनंत आसान कैसे करे और फायदे
Ardha Matsyendrasana Kaise Kare : अर्ध-मत्स्येन्द्रासन कैसे करे और फायदे