हाई ब्लड प्रेशर का देसी इलाज के कुछ सफल घरेलु नुस्खे

High blood pressure treatment at home in hindi : Hypertension kahe ya high HP ya raktchaap, yeh bimari ek silent killer hai aur is se stroke aake paralysis ho sakta hai. Raktchaap ke baare me jaaniye, savdhan ho jaaye aur agar ho gaya hai to yahan par bataye how to control high blood pressure in hindi tips ko ajmaye aur heart attack ke khatre se bach ke rahe.
High blood pressure ke karan
Samanya BP systolic 120mm/hgaur diastolic pressure 80 mm/hg maana jaata hai. Systolic agar upar chala jaaye aur 140 ka aank ho to uch raktchaap kehte hai. Is ke peeche kai kaaran hai.
- Tanav adhik hone se blood pressure badh jaata hai.
- Lifestyle ke karan aur obesity ke karan BP badh sakta hai.
- Diabetes aur gurde ki bimari se raktchaap ho jaane ki sambhavna hai.
- Dawai ke kaaran.
- Family history ho BP ka to bhi ho sakta hai raktchaap.
- Parathyroidism
Aise to high blood pressure ke lakshan nahin dikhai dete hai isiliye is ko silent killer kehte hai. Doctor blood pressure measure kare tab jaan liya jaata hai ki mareez ko high BP hai. Kai baar sir mein dard, nakhoon se khoon nikalna, chakkar aana, bhram, aankho se theek na dikhai dena aise lakshan dikhai dete hai. Agar aisa ho to jeevanshaili badle aur aahar par niyantran rakhe aur namak bilkul kam kar de to fir niyantran me BP aa sakta hai. Saath mein BP kam karne ke upay in hindi jo yahan par bataye hai un ka prayog kare.
BP kam karne ke upay in hindi
High blood pressure ko kaise control kiya jaaye yeh prashna ke jawab me pehle aahar par dhyan de. Heart-friendly aahar le jis me ho high potassium, vitamins, iron aur fibre. Paani bhi kaafi maatra mein peete rahe din bhar. Namak bilkuk bandh kar de ya kam kar de.
- BP kam karne ke upay in hindi jo aajmaaye to sharab aur dhumrapan ko pehle tyag kar de.
- High blood pressure ka desi ilaj in hindi hai ki vajan kam karne ke poore prayatna kare. Fresh fruits aur vegetables ke sahare jiye 15 se 30 dino tak aur fir jyaada uble hue aahar le aur tale hue aahar aur tel ko kam kar de.
- Blood pressure kam karne ke gharelu nuskhe in hindi hai ki aap fiberyukt aahar jyaada le. Arjun chal ka kaadha banaye aur din me 50 ml do baar sevan kare to dil majboot banega.
- BP kam karne ke upay me aap ajwain ka upyog kare. Ajwain kuchal ke chaba ke khaaye din me do baar to BP control me rahega.
- High blood pressure ka desi ilaj in hindi hai ki aap aahar me lehsun khaaye aur khaas to savere uth ke do kali lesun chaba ke kha le.
- Ab jaaniye home remedies for high blood pressure in Hindi. Pyaaj aur rai ke beej ka sevan kare to blood pressure niyantran me rahega. Gotu kola, jatamansi, hari mirch, guggul aur aloe vera ke sevan se bhi blood pressure control ho jaata hai.
- High BP ka ilaj karne ke liye long ka churna aur dalchini churna sambhag shahad ke saath mila ke goli bana ke chooste rahe.
- High blood pressure ke gharelu nuskhe in Hindi mein aap ashwagandha churna le aur is mein thodasa jaiphal ka churna milaye aur garam doodh ke saath sevan kare.
- High BP ke ayurvedic upay mein aur bhi jadibooti hai jaise ki sarpagandha, brahmi, shankhpushpi aur chandan. In ka churna ka niyamit roop se sevan kare aur bp ko control kare. Amla aur haldika prayog bhi shresht hai.
- Savere uth ke nimbu ka ras garam paani mein mila ke piye to vitamin C jo hai us se fayda hoga. Saath me beetroot juice milaye.
- High blood pressure ke desi nuskhe me har roj thoda sa tarbuj ka sevan kare.
- Har roj alsi ke beej ka sevan kare, kam se kam ek chamach.
High blood pressure ko kaise control kiya jaye?
Aur bhi tarike hai bp control karne ke liye.
- Apne reed ki haddi par aap ek thanda ice pack lagaye.
- Savere uth ke tehelne jaaye.
- Tub me paani garam kar ke us me 30 minute tak baithe.
- Dhoop me ghoome.
- Pairo ko ek balti me rakhe jis me garam paani daala ho.
- Din bhar active rahe aur apne aap par control rakhe.
- Aahar me santre, papita, tarbuj, seb aur tarbuj shamil kare. Ho sake to kakdi, gajar, tamatar, pyaj, gobhi aur palak bhi khaate rahe.
- Music ka sahara le. Aise shaant music sune jis se manas aur chitta shaant ho jaaye.
Yog aur pranayam dwara bp control kare
- Chandrabheda pranayam se din ki shuruaat kare.
- Thode se yogasan kare jaise bhujangasan, shalabhasan, dhanurasan, pavanmuktasan aur katichakrasan.
- Vajrasan me baith ke rechak purak shvasan kriya kare.
Allopathic dawai se jhat pat bp kam hoga magar yeh aap ko har roj lena hoga. Yahan par bataye high blood pressure ke gharelu nuskhe se koi side effect nahin hai. Dheeme dheeme kar ke bp niyantran me aa jaata hai aur swasthya bhi sudhar jayega.
TAGS : #high blood pressure treatment at home in hindi #high blood pressure ka desi ilaj in hindi #how to control high blood pressure in hindi #home remedies for high blood pressure in hindi #high blood pressure ke lakshan #bp kam karne ke upay #high blood pressure ko kaise control kiya jaye #blood pressure kam karne ke gharelu nuskhe #high bp ka ilaj #high blood pressure ke gharelu nuskhe
*** Ye Bhi Padhe ***
पेट दर्द का घरेलू इलाज अपनाए और पाए तुरंत छुटकारा पेट दर्द से
जानें क्या हैं डायबिटीज के लक्षण और घरेलू उपचार
Malaria ke Lakshan : मलेरिया के लक्षण और घरेलू इलाज
इन 4 घरेलू उपायों से सर्वाइकल स्पांडलाइटिस के दर्द से पाएं राहत
टायफायड (Typhoid) बुखार के कारण, लक्षण और घरेलू इलाज
डेंगू (Dengue) बुखार के लक्षण, कारण और घरेलू इलाज
जाने निमोनिया (pneumonia) के कारण, लक्षण और घरेलू इलाज
एचआईवी एड्स (HIV/AIDS) होने के लक्षण, कारण और उपचार
लो ब्लड प्रेशर/निम्न रक्तचाप के असरदार देसी घरेलू इलाज
जाने चिकनगुनिया के कारण लक्षण और घरेलू आयुर्वेदिक उपचार
Gharelu Nuskhe
19 Comments
Mahi, Jan 13, 2017
meri mummy ka bp high rehta hai humne sab kuch kar liya par kuch asar nahi karta plz sir kuch upaye bataye
shaina, Jan 16, 2017
mai kya karu mera bp bahut high rehta h
naina, Jan 19, 2017
mera bp bahut high rehta hai desi ilaj bataye
Namra, Jan 19, 2017
good knowledge
रोनित, Aug 09, 2017
आपने जो हाइ ब्लड प्रेशर ट्रीटमेंट एट होम का इलाज़ बताया है वो अच्छा है क्या आप ब्लड प्रेशर लो के बारे में थोड़ा बता देंगें कि वो कैसे ठीक करना है
रिचा ओझा , Aug 18, 2017
अगर आपका बीपी हाइ रहता है तो आप अजवाइन खा कर रोज इसका सेवन करें अल्सि के बीज का सेवन करें लहसुन का सेवन करें और जाएदा टेंशन मत लें इन चीज़ों का अगर आप ख़याल रखेंगे तो आपका बीपी कंट्रोल में रहेगा|
Maya , Sep 12, 2017
Meri mummy ko high bp ki problem hai maine unko roj 4 ltr paani pine ki salah di hai ap bataiye iske alawa main aur kya kar sakti hun aap bataiye high bp ko kaise control men karen
Neelima Mishra , Sep 13, 2017
your article in which you explained home remedies of BP control that was nice well written i like your post Thanks
ललिता व्यास , Sep 15, 2017
पालक और गाजर का रस मिलाकर एक गिलास रस सुबह-शाम पीयें, लाभ होगा गेहूं व चने के आटे को बराबर मात्रा में लेकर बनाई गई रोटी खूब चबा-चबाकर खाएं आटे से चोकर न निकालें तीन ग्राम मेथीदाना पावडर सुबह-शाम पानी के साथ लें इसे पंद्रह दिनों तक लेने से लाभ मालूम होता है।
जसवंत, Sep 18, 2017
ब्लड प्रेशर कंट्रोल के लिए मेथी हाई बीपी का इलाज खाने में सोडियम की मात्रा घटाएं और फर्क देखें फाइबर,पोटैशियम और लौह खनिज की मात्रा वाले भोजन करने से आपका ह्रदय स्वस्थ रहेगा काफी मात्रा में पानी पीना भी एक बेहतर विकल्प है।
रोनित कपूर, Sep 19, 2017
ईटिंग ए हेल्ती डाइयेट इंक्लूडिंग दा देसी डाइयेट ईटिंग मोर फ्रूट्स वेजिटेबल्स एंड लो फ़ैट डेरी प्रॉडक्ट्स लेस सॅचुरेटेड एंड टोटल फ़ैट एंड गेटिंग रेग्युलर एरोबिक एक्सर्साइज़ सच एज ब्रिस्क वॉकिंग एट लीस्ट 30 मिनिट्स ए डे सेवरल डेज़ ए वीक
Roja Saauh, Sep 21, 2017
maine suna hai ki agar aapka BP low ho to aap coffee pi sakte hain kiya sach mai cofee hamare BP low par asar karak hai please tell me urgently
रुबीना ख़ान, Sep 22, 2017
गाजर का मुरब्बा खाएँ इससे आपके हाइ बी पी को कंट्रोल करने में आपको भरपूर मदद मिलेगी और साथ ही आपने जो बी पी कंट्रोल करने के नुस्खे लिखे हैं वो सच में ही कमाल के हैं|
Neeraj Sinha, Jan 27, 2018
Main 21 saal ka hun mujhe BP high Bhi hota hai aur low bhi hota hai lekin kab kaun sa ho jaata hai mujhe pata hi nahin chalta kiya aap mujhe iske lakhshan bata sakte hain jisse main pehchan saku ki mujhe recently kaun sa hua BP Low ya BP high.
Rakesh Juneja, Jan 30, 2018
Blood pressure badhne ka karan batayen ki aisa kiya karan hai ki mera bp high ho jata hai please aap mujhe iske reason bhi bataiye
Mannat Sethi, Feb 01, 2018
Main to moti bhi nahin hun fir bhi mera BP high hota hai aur shayad low bhi hota hai kiya aap iske baare mai kuchch bata sakte ho BP low aur high hone ka reason kiya hai?
Sheetal Thakur, Feb 05, 2018
Agar aapka blood pressure high rehta hai to aap roj raat ko sone se pehle ek glass garam paani mai aadha chammach methi ke daane ko bhigne ke liye chodh den aur fir subah in methi ke daano ko chaba kar khayen isse aapka BP high control mai rehta hai.
Sukhdev Verma , Feb 06, 2018
Aapne to BP high hone ke karan aur ilaz in hindi to bata diya lekin kiya aap BP low hone ka karan in hindi aur isko thik hone karne ke upay in hindi bataiye kiyunki mera jaayadatar BP low rehta hai.
malwika, Jan 13, 2017
thnx