Cow Milk Benefits in Hindi : गाय के दूध के फायदे

Cow milk benefits in hindi (गाय के दूध के फायदे) - Aajkal jahan dekhe vahan par doodh jo milta hai vo bhains ka hota hai aur gaay ka doodh bahut kam milta hai. Hum yeh bhool rahe hai ki ayurved mein aur parampara mein sirf gaay ke doodh ko hi shresht maana gaya hai. Cow milk kyon shresht hai aur amrut samaan hai yeh aage jaaniye.
Ayurved mein gaay ka doodh ka mehtw
Ayurved ke anusar cow milk madhur hai, pachne mein bhaari aur thandak deta hai. Gaay ka doodh dhatu vardhak or ojas vardhak maana gaya hai aur rasayan bhi. Yeh snigdha hai. Gaay ka doodh ke peene se vyakti ka dimag tez rehta hai aur cow milk balvardhak bhi hai. Yeh vata aur pitta ka shaman karta hai magar kapha ko badha deta hai. Jo gaay ka doodh peeta hai us par budhape ka asar lambe samay tak nahi hota hai. Agar mata doodh pilati ho apne bachche ko to use gaay ka doodh avashya dena chahiye to doodh badhega. Gaay ka doodh peene se thakan mit jaata hai, bhook mit jaata hai aur pyas bhi mit jaata hai. Shirodhara ke liye, basti ke liye aur garare karne ke liye keval gaay ka doodh ka upyog kiya jaata hai. Charak samhita me gaay ke doodh ke kitne hee upay hai. Mandagni aur bukhar mein gaay ka doodh varjit hai.
Cow milk benefits (गाय के दूध के फायदे)
- Gaay ke doodh mein calcium adhik maatra mein hone se dant aur haddi hamesha majboot rehti hai.
- Kyonki gaay ka doodh sampurna bhojan hai to sirf gaay ke doodh ko peene se trupti hoti hai aur poshan bhi poora ka poora milta hai.
- Khaas baat to yeh hai ki is doodh ke sevan se cancer se insaan bache rehta hai. Gay ke peeth par mota hump hota hai jo surya ke kiran ko shosh ke is ke gun ko doodh mein transfer karta hai.
- Gaay ke doodh mein se milta hai 6 alag Vitamins, 21 amino acids, fats, 25 alag minerals, phosphorus, copper, iron, iodin, fluorine, silicon aur calcium. Agar nanhe bachche ko mata ka doodh purna nahin hota hai to gaay ka doodh us ke liye uchit hai.
- Gay ke doodh mein aisa gun hai ki peene se turant urja pradan hota hai. Doodh mein shahad aur gaay ka ghee mila ke peene se aur laabh hota hai aur budhapa door rehta hai.
- Jaundice mein gaay ka doodh, kabz mein is doodh se bani chaach aur ajwain, bavasir mein chaach aur masoor daal ka ubla hua paani mila ke peeye, gas mein yeh doodh, nirbalta ke liye aur aise kai upyog mein sarvottam hai.
- Arthritis aur jodo ki bimariyo mein yehi doodh ka sevan kare.
- Is mein se milta hai potassium jo dil ko majboot banaye rakhta hai.
Agar is poojniya praani ka doodh itna faydakarak hai to गाय का घी bhi uttam maana gaya hai. Koi bhi ayurvedic dawai ho ise gaay ke ghee mein mila ke sevan kiya jaata hai us ka asar badhane ke liye. Is kee se pachan sudhar jaata hai, kabz door hota hai, dimag aur aankh tej ho jaate hai, kanth madhur ho jaata hai, virya badh jaata hai aur vyakti sfurtila ho jaata hai. Snigdh hone ke kaaran jodo mein dard nahin hoga. Gaay ka ghee ek aisa amrut hai ki yeh pet par ki charbi mitane mein madadroop hota hai. Thyroid ke problems mein cow ghee ka sevan kare.
Gaay paalan aur doodh par asar
Yeh sabhi cow milk aur gaay ke ghee ke fayde tab milte hai jab gaay ko sahi aahaar diya jaaye. गाय पालन jo gao mein hota hai to vahan par gaay ko chane, cotton seed cake, ghaas aur aise poshak aahar milta hai. Yahan city mein jo gaay ko paalte hai voh gaay ko aise hee ghoomne dete hai aur gaay kuch bhi kachra khaa leti hai jo tatva doodh mein aa jaate hai. Shehriya दुध व्यवसाय mein lage log ko chara ka kharcha nahi poshata hai. To Gaay ka doodh ka fayda chahiye to aise gaay ka doodh le jo shuddh poshtik aahaar leti ho.
Yeh sabhi ayurvedic gun gaay ke doodh aur gaay ke ghee ke unhi gaayo se sambandhit hai jo Indian hai. Aajkal दुध व्यवसाय mein jude log jersey gaay aur vilayati gaay ko paalna jyaada pasand karte hai kyonki yeh doodh jyaada deti hai jo apni deshi kamdhenu nahin deti hai magar vilayti gaay ke doodh ya ghee mein voh amrut samaan gun nahin hai.
TAGS : #cow milk benefits in hindi #benefits of cow milk in hindi #गाय का दूध बढ़ाने के उपाय #benefits of milk in hindi #cow milk benefits and side effects #cow milk ke fayde #desi cow milk benefits in hindi #importance of milk in hindi #cow milk benefits for men #cow milk benefits for adults #benefits of cow milk for children #milk benefits for skin in hindi #गाय के दूध के फायदे
*** Ye Bhi Padhe ***
जाने दही खाने के 12 बेहतरीन फायदे और खूबियाँ
नींबू के छिलकों के 10 फायदे जरूर जाने
नींबू के बारे मे ये ज़रूरी है जानना
बादाम वाला दूध पीने के बेहतरीन फायदे
ये है बादाम तेल के असरदार फाय्दे ज़रूर जाने
जाने शहद का अधिक सेवन हो सकता है कैसे नुकसानदेह
जानें शहद के आश्चर्यजनक 25 स्वास्थ्य लाभ
25 Amazing Benefits of Honey in Hindiरहिए ईको-फ्रेंडली और ऐसे मनाए दीपावली बिना प्रदूषण
Cow Milk Benefits in Hindi : गाय के दूध के फायदे
Best Home Remedy for Cough : खांसी के लिए घरेलू उपचार अदरक, लहसुन और नमक
Gharelu Nuskhe
13 Comments
mihika, Aug 14, 2016
चेहरे पर कील, मुहासे, झाई, दाद. धब्बे हटाने के लिए रात को सोने से पहले गाय के दूध को चेहरें पर मलें.
Vishakha, Aug 14, 2016
kya gaay ka doodh bacho ke liye faydemand hota hai???
Rohit, Aug 16, 2016
kya gaay ka doodh bawaseer mai faydemand hai???
rishi, Aug 18, 2016
ek din mai kitne glass gaay ka doodh peena chaiye????
Mohit, Jan 12, 2017
thnx for sharing cow milk benefits in hindi
arjun, Jan 12, 2017
desi cow milk benefits in hindi mai bataye
नित्या नंद , Jul 23, 2017
आयुर्वेद में और परंपरा में सिर्फ़ गाय के दूध को ही श्रेशठ माना गया है गाए का दूध श्रेशठ है और अमृत समान है गाए का दूध पचने के साथ शरीर को शीतलता प्रदान करता है गाए के दूध का सेवन करने से दीमाग तेज रहता है तथा शरीर को बलवान बनाने के साथ साथ हमारा वीरया भी बनाता है जो गाए का दूध पीते हैं उन्हें बुडापा जल्दी नहीं आता इसको नियमित पीने से शरीर की थकान दूर करने के साथ साथ भूख और प्यास भी मिटाता है|
Ashish, Aug 01, 2017
Cow milk helthy hota hai kya
अनुज सक्सेना, Aug 25, 2017
गाए के दूध के क्या फ़ाएदे हैं मुझे बताएँ की इसे कैसे कब और कितनी मात्रा में उपयोग करें प्लीज़ शेयर मी
राधे श्याम, Oct 17, 2017
गाय के दूध के किया फाएेदे हैं मुझे भी बताएँ जिससे कि मैं भी इन सब फाएेदों का लाभ ले सकूँ|
विश्वास, Nov 06, 2017
गाए के दूध के किया फाएेदे हैं मुझे बताएँ| प्लीज़
बिरखा राम, Feb 11, 2018
गाए के दूध के किया फातेदे है मुझे इसकीे बारे में बताइए
Ritu, Aug 12, 2016
thnx cow milk benefits in hindi batane ke liye