चेहरे से काले दाग-धब्बे हटाने के घरेलू उपाय

चेहरे से काले दाग-धब्बे हटाने के घरेलू उपाय

Kale daag mitane ke upay in hindi : Jawani me pimples-acne ke kaaran aur badhti umar me aankho ke neeche dark circles ke kaaran chehre ka dikhava kuch kam ho jaata hai. Dhoop mein jyada samay chehra expose rahe to bhi skin dark ho sakta hai. Chehre par daag dhabbe ho to chinta karne ki baat nahin hai. Yahan par bataye chehre ke kale daag dhabbe hatane ke upay aajmaaye aur dekhiye kaise chehra badal jaata hai aur aap ka self-confidence level badh jaata hai. 

Chehre ke kale daag dhabbe hatane ke upay 

  • Kale daag mitane ke upay in hindi jaaniye ki nimbu aap ka dost hai jab aap kale daag dhabbe hatana chahte hai. Har roj niyamit do haar nimbu ko ghise apne kale daag dhabbe par. 
  • Muhase ke daag hatane ke upay in hindi bataye to nimbu aur haldi ka mishran shresht hai. Agar is mein thoda sa nariyal tel milaye ya to shahad milaye to sookhi ya teli chamdi me fayda hoga. 
  • Muhase hai aur us ke daag bhi hai to fir neem ke patte ka paste banaye aur is mein haldi aur nimbu ka ras mila ke upyog kare muhase ke daag hatane ke liye. 
  • Kai baar kai yuvano me kaale daag bahut he faile hote hai acne ke kaaran. Pimple ke daag kaise mitaye in hindi ab jaaniye. Baking soda le aur us mein 2-3 boond hydrogen peroxide aur glycerine milaye aur ise pimples ke kaale daag par lagaye. Hydrogen peroxide aur baking soda dono bleaching ka kaam karti hai aur jald hee daag ka rang sudharne lagta hai. Bas 10 minute tak laga ke rakhe. 
  • Pimples ke daag hatane ke gharelu upay mein aap upyog kar sakte hai dahi aur haldi ka. Dono ka mishran bana ke kale daag par laga ke rakhe. 
  • Aankho ke neeche chehre se daag hatane ke tips me upyog kare gentle gulab ka aur chandan powder ka. Agar is me haldi milaye to aur bhi achcha. Gulab pankhudi ka paste bana ke is mein chandan powder milaye thoda sa shahad ke saath. Yeh dark circles ke liye shresht hai. 
  • Acne aur pimples ke daag kaise mitaye? Jawab hai santre ke chilke se. Chilka taaja ho to paste banaye aur sukha ho to powder bana ke nimbu ka ras mila ke daag par ghise. Rang halka hota jayega. 
  • Chehre ke daag mitane ka tareeqa ek yeh hai ki aap aloe vera ka fresh juice nikale aur is mein shahad milaye. Fir nimbu ka ras aur haldi daal ke chehre par mal de aur dekhiye kaise ronak badal jaati hai ek mahine mein.
  • Komal tvacha par se daag dhabbe hatane ke tips in hindi jaaniye. Doodh ka upyog kare. Sirf doodh aur doodh ka malai lagayenge to bhi farak hoga. Doodh me gulab ki pankhudi ka paste ka upyog kar sakte hai. Haldi ka mishran bhi ho sakta hai. Doodh aur besan ka upyog kare exfoliation ke liye aur rang sudharne ke liye. Isi tarah aap dahi ka bhi upyog kare. Dahi aur multani mitti me haldi daal ke upyog karne se teli tvacha valo ke liye fayda hai. 
  • Pimples aur acne karan kale dhabbe ko hatane ke liye kachcha papita bahu upyogi hai. Kachcha papita ka paste banaye aur is mein nimbu ka ras mila ke lagaye. Kachche papaya ka chilka bhi ghise to fayda hoga.
  • Chehre ke daag dhabe hatane ke gharelu upay me upyog kare alu ka. Bilkul saral paddhati hai ki alu ka slice kare aur alu ko ghise apne daag vale jagah par. Aise hee aap pineapple ka slice aur tamatar ka slice ka upyog kar sakte hai. 
  • Pimples ke daag ka ilaj apple cider vinegar ya sirke se kiya jaa sakta hai. Baking soda me thodasa vinegar ya sirka milaye aur daag par ghise har roj ek mahine tak. 

In sabhi daag dhabbe hatane ke tips in hindi jo bataye hai un ka prayog karne se pehle chehre ko dho de. Ho sake to face pack ka upyog bhi kare. Chehre ke liye face pack alag alag prakar ke hote hai jin me se chune is prakar hai jo daag dhabbe mein bhi upyogi hai. 

Chehre ke liye face pack

  • Daag dhabbe vale chehre, dark circles under eyes aur sunburn skin ke liye fruit base face packs bahut upyogi hai. Fruits me aap istemal kare tamatar, ananas, kela, strawberry, pakke aam, pakke papita ka pulp ka upyog kare. In ke pulp me aap chahe to shahad, dahi, haldi mila sakte hai. 
  • Aata based face pack me aap upyog kar sakte hai besan, chaval ka aata aur gehu ka rough aata. Is mein multani mitti, chandhan aur dahi mila ke chehre par lagaye to exfoliation hoga. Ghis ke 15 minute tak sookhne de. 
  • Ayurvedic herbal powders mein chehre ka face pack banane me upyog hota hai chandan, rakt chandan, manjishta, yashtimadhu aur lodhra. In ka churna aap doodh ya dahi ke saath mila ke lep kar sakte hai aur in ka sevan bhi kar sakte hai. 
  • Sardiyo me aur rookhi tvacha ke liye nut based face packs ban sakte hai chironjee, badam, akhrot ke istemal se. Bhigo ke rakhe aur anya samagri jaise haldi, gulab pankhudi aur shahad ke saath mila ke istemal kare aur dekhiye kamal in ka. 

Chehre ki dekhbhaal karna avashyak hai. Bahar se upyog kiye jaane valie samagri se fayda jaroor hota hai. Prevention me tvacha ko jyaada sunlight ko expose na kare, kapde dhak ke jaaye dhoop me jaana ho to. Saath me rakt ko shuddhikaran karna aur pachan theek karna bhi itna hee jaroori hai poshan ke saath. Isiliye in par bhi dhyan de to andar se chehra damakne lagega. Udaharn ke taur par amla ka murabba khane se, gajar ke khane se, aur trifala ka sevan se system saaf rehta hai aur tvacha ka rang sudhar jaata hai. 

Yeh sabhi chehre se daag hatane ke tips ko niyamit roop se dhiraj se lagana hoga ek do mahine tak. Itna samay lagta hai naye koshika ke sarjan me aur tab farak dikhai dega.

TAGS : #kale daag mitane ke upay in hindi #daag dhabbe hatane ke tips in hindi #chehre ke daag ke liye cream #chehre ke daag or pimples #muhase ke daag hatane ke upay in hindi #chehre ke daag mitane ka tareeqa #pimple ke daag kaise mitaye in hindi #face ke daag hatane ke tips in hindi #kale daag hatane ke upay in hindi #muhase ke daag hatane ke upaye in hindi #pimple ke daag kaise mitaye

Gharelu Nuskhe

Leave a Comment

Your Name*

Comment*

19 Comments

Meenakshi, Dec 21, 2016

mere chehre bahut oily hai plz kuch upaye bataye

sonakshi, Dec 21, 2016

Meri shadi hone wali hai mein apne chehre se daag dhabe door karna chahtee hoon. kuch aisaa upay batain jo jaldi asar kare

niha, Dec 24, 2016

bahut acha post hai

sunaina, Dec 25, 2016

mere pimples bahut hote hai aur unke daag reh jate hai pimples ke daag ka ilaj bataye

heena, Dec 27, 2016

mera rang saaf hai par kale daag dhabbe ki wajah se mera rang dull lagta hai plz kuch upaye bataye

priya, Dec 29, 2016

mere chehre pe bahut kale kale nishan hai kaise hatau??

tanisa, Jan 11, 2017

Mere Chere PR dag k sath sath pimples v h mail bhutt presan hu plzzzz koi upay btaye mujhe

manu, Jan 11, 2017

Mere gal bhutt pichke huye h plzzz gal bhare k koi tablets ka Nam btaye plzzz I request u.....

Raminder, May 20, 2017

mere face main eyes ke aas paas bahut black spots hain aur koi aisa tareeka batao jiise wo dikhna band ho jaaye aur light ho jaaye. bahut ganda lagta hain jab main apne aapko mirror main dekhti hoon aur saari mehnat bekaar tayaar hone ki

कविंदर कौर, Aug 04, 2017

चेहरे के काले धब्बे कैसे छुड़ाएँ चेहरे पर होने के कारण चेहरे की सारी की सारी शोभा ही काले धब्बे ख़तम कर देते हैं इसे दूर करने का कोई उपाए हो तो बताओ

तनु भाटिया, Aug 21, 2017

मेरी प्राब्लम है ड्राइ स्किन की और मैं पिंपल्ज़ से भी बहुत परेशन हूँ प्लीज़ बताएँ इन नुस्खों से फएदा होगा जो आपके घरेलू नुस्खे हैं|

कंचन लता, Sep 25, 2017

मेरे चेहरे पर काले दाग धबे हो रखे हैं और मेरी 2 मंथ बाद शादी है प्लीज़ बताइए कैसे मैं इन सबको ठीक करूँ कियुंकी यह बहुत अजीब लग रहा है और मैं इसको ठीक करना चाहती हूँ क्या नींबू से चेहरे के दाग धबे चले जाएँगे?

Rupa, Sep 29, 2017

Gulab jal mai chandhan ka powder mila ke apne face par roz ye lep lagayen isse aapke face ke saare gaad dhabbe nikl jayenge ek bar aap ye gharelu nuskhe apnaeyen isse aapka face glow karega.

Alka Sood , Oct 03, 2017

Mere chehre par bahut se gande wale daag ho gye hain please usko htane ka koi upay batayen jisse mera chehra khila khila lge. please help me

Dheeraj Sanehi, Oct 05, 2017

Main 24 saal ka hun lekin mere face par bahut sare daag dhabbe hain unko kaise chutaun please help me.

Nisha Popli, Oct 09, 2017

Mere aankho ke neeche bahut hi jayda dark circle ho gaya hai pata nahin aisa kiyun ho raha hai please koi tarika batayen jinse main chutkara pa sakun.

गोपीनाथ, Oct 09, 2017

दूध के साथ आप हल्दी का उपयोग करे तो और भी शक्तिशाली लेप तैयार होता है रूखी त्वचा के लिए यह मिश्रण श्रेष्ट है तेली त्वचा के लिए हल्दी और निम्बू का रस बेहतर रहता है और उपाय है दही और हल्दी का उबटन बना के नियमित उपयोग करने से त्वचा का रंगत सुधर जाता है|

Roshan Singh , Oct 11, 2017

Dudh mai lactic acid hota hai jo ki twacha ke daag dhabbe hatane mai madad karta hai Ise lagane se twacha komal bhi banti hai.

स्मृति सैनी , Oct 14, 2017

चेहरे के काले दाग धब्बे प्याज मे क्रित्रम प्रतिरोधक गुण होते है जो की मुहाँसो के दाग धब्बे दूर करने मे आपकी मदद करेगे तो शांतीपूवर्क इस विधि का उपयोग करें प्याज लें और उसका रस निकाल कर चेहरे के संक्रमित स्थान पर लगाएँ और कुछ मिनिट तक रहने दे फिर साधारण पानी से धो दें|