जल्दी बॉडी बनाने के उपाय बॉडी बनानी है तो जाने ये बेहतरीन मंतरा

Muscular body impressive lagta hai. Ek din me to nahin banta hai aur kadi mehnat karni padti hai. Is ke baad jo results dekhenge to aap bhi khush honge. Kaise shuru kare yeh safar muscles banane ka? Body banane ke tarike yahan par prastut hai jo aap avashya aajmaaye.
बॉडी बनाने का तरीका, आहार, व्यायाम और आयुर्वेदिक दवा :-
1. बॉडी बनाने का तरीका - Body Banane ka Tarika
2. इंटर्नल हेल्थ सुधरे - Internal Health Sudhare
3. बॉडी बनाने के लिए उतम आहार - Body Banane ke Aahar
- बॉडी बनाने के लिए शाकाहारी आहार - Vegetarian Diet Tips for Muscles in Hindi
- बॉडी बनाने के लिए मांसाहारी आहार - Non-Veg Diet Tips for Muscles in Hindi
4. बॉडी बनाने के लिए व्यायाम और योग - Body Banane ke liye Exercise
5. बॉडी बनाने के लिए आयुर्वेदिक दवा - Body Banane ke liye Ayurvedic Medicine
बॉडी बनाने का तरीका - Body Banane ka Tarika
Body banane ka tarika shuru kare planning se. Is mein samay ki jaroorat hai, aahar ki aur drudh nischay ki kyonki ek din me body nahin banta hai. 2 saal ke baad sahi results dikhenge. Ek lekhit plan banaye aur monthly progress report charting ka bhi saiyojan kare.
- समय प्रबंधन (Time Management) : Body banane ke liye gym me aap ko ek ghanta to bitana hai hafte me 5 dino ke liye. Schedule me aisa arrange kare ki savere yeh kriya kar sake.
- आहार (Aahar) : Sahi aahar khana aur samaysar khaana jaroori hai to yeh aap ke budget aur time management se judi hai. Mindset bhi change karna hoga kyonki yeh common hai ki logo ko kai cheeze khana pasand hai aur kai cheeze khaana pasand nahin hai.
- दृढ़ संकल्प (Determination) : Pehle se yeh soch le ki kuch bhi ho aap yeh plan par tike rahenge. Log utsah me shuru to kar dete hai magar ek-do mahine ke baad fir aage nahin tike rehte hai.
और पढ़े :- जाने ये 5 राज़ और बनाए बॉडी केवल 30 दिनो मे
इंटर्नल हेल्थ सुधरे - Internal Health Sudhare
- Body banane ke liye pehla body banane ka upay hai ki apna swasthya sudhare yaane pachan tantra sudhare.
- Ek-do din detoxification kare yane upvas kare aur shari ka metabolism sudhare to jo aahar lenge us me se poshak tatvo ka sahi absorption hoga aur mas peshiyo ka nirman hoga.
और पढ़े :- बॉडी बनानी है तो जाने ये 8 मंत्र
बॉडी बनाने के लिए उतम आहार - Body Banane ke Aahar
Aam taur par log jyada carbohydrate vale aahar khate hai. Body banane ke tarike me aahar ki baat kare to is me protein ki maatra aur fats ki maatra jyaada hona chahiye aur carbohydrates kam hona chahiye. Body banane ke tips me aahar me protein is tarah shamil kare:
बॉडी बनाने के लिए शाकाहारी आहार - Vegetarian Diet Tips for Muscles in Hindi
- Doodh ek uttam source hai protein ka. Doodh, dahi, paneer ka sevan kare. Rojana 2 litre doodh peene se poorte praman me protein aur calcium milta hai jo maspeshi aur haddi ke vikas ke liye jaroori hai.
- Dal, rajma, soyabean, chana, matar khaaye. Sirf soyabean hai jis me sabhi amino acid hai. Doosre cheezo ko mix karke khaaye taki sabhi amino acids mile. Kam se kam har roj 200 gram protein yukt aahar hona chahiye. Savere uble hue chane khaaye, ankurit moong khaaye aur dopahar ko bhi khaaye. Raat ko halka bhojan kare.
- Fats ki baat aati hai to dalda na khaye balki shuddh desi ghee jyada maatra me khaaye. Saath me 100 se 200 gram kaju ya anya teli beej jaise singdaane aur til ka sevan kare. Suka copra bhi uttam source hai fats aur protein ka.
और पढ़े :- बॉडी बनाने के लिए खाए ये बेस्ट 4 आहार
बॉडी बनाने के लिए मांसाहारी आहार - Non-Veg Diet Tips for Muscles in Hindi
- Non-veg ke liye protein sources hai ande, chicken, fish aur meat. Din ka shuruaat kare 4 ande aur doodh se. Dopahar ko chicken 200 gram khaaye aur raat ko fish khaaye.
- Dono, vegetarian aur non-vegetarian ke liye saath me sabji aur fal jaroori hai vitamins aur minerals ke liye jo mas peshiyo ke vruddhi me behad sahayak hai. Din me paani 3 litre to avashya peeye. Workout ke pehle aur baad me bhi liquids le. 8 ghante ki neend le.
- Aahaar par adharit body banane ke tips jaanne ke baad ab bari hai exercise dwara body banane ke tarike hindi mein.
और पढ़े :- संतुलित आहार के जरिये आसानी से बॉडी बनाये
बॉडी बनाने के लिए व्यायाम और योग - Body Banane ke liye Exercise
- Vyayam adharit body growth tips in hindi is prakar hai. Har roj ek ghante tak vyayam jaroori hai magar continuous nahin. Ek set kare, 5 minute aaraam kare aur fir shuru kare. Exercise shuru kare us ke pehle doodh, shahad aur kele ka sevan kare aur baad me high protein food le jaise nuts, dal, chicken to body immediately mas peshiyo ka nirman shuru kar de.
- Vyayam bhi alag alag kare har din ke liye jis me stamina training (running, push ups, pull ups aur swimming ho) aur weight training ka mishran ho.
- Body ke muscles banane ke liye weight training jaroori hai. Is mein aap dumbells dwara shuru kare pehle 5 kilo se. Ek mahine ke andar 10 kilo tak pahunch jaaye fir 15 fir 20.
और पढ़े :- जिम जाने से पहले ज़रूर जाने ये बाते तभी मिलेगा लाभ
- Body banane ka tarika hai ki muscles ko itna exercise kare ki muscle fibre thodasa tear ho aur fir aahar se mas peshi ban ke muscle tissue me vruddhi hoti hai. Jyaada vajan se muscle tear-repair kriya tej hoti hai.
- Six pack banane ke tarike hindi me jaaniye. Pull up se shuru kare. Ek baar me ho sake itne kare. Rest kare aur fir shuru kare. Aise 5 baar kare.
- Ek ab wheel ka sahara le aur ghutno par ho jaaye. Haatho se ab wheel pakad ke kamar ko aage dhakele aur sharir ko aage le jaaye aur fir peeche ki taraf aaye. Repeat kare.
- Cable cross machine ka upyog kare gym me. Bhari barbell ko kone me rakhe aur ek aur se uthaye aur chest ki taraf laye aur fir door kare aur fir haatho se ghumaye. Jamin par let jaaye aur pairo ko hawa me uthaye seedha upar aur aise hee neeche ki taraf laaye aur repeat kare.
और पढ़े :- 6 योगा टिप्स बॉडी बढ़ने के उपाय
- Body banane ke tarike in hindi me weight training par dhyan de aur apne arms, shoulders, thighs aur abdomen ko exercise kare. Ek din arms ko kare, doosre din shoulders, teesre din abdomen aise har ek din alag sets kare taaki all round development ho.
- Hafte me 5 din gym jaaye aur vyaayam kare. Do dino ke liye aaram kare.
- Body banane ke liye khas formulations milte hai jaise creatine aur whey powder. Body banane ke liye powder ya aise supplements ki jaroorat nahin hai agar aahar sahi ho. Steroids se door rahe kyonki isse nuksan hota hai.
- Body banane ke gharelu upay behtar hai. Gym nahin jaana hai to balti me ret bhar ke weight training ho sakta hai.
- Body banane ke gharelu tarike in Hindi me bataye ki eent aur pathar ko bhi vajan ke taur par istemal kiya jaa sakta hai. Badi thaili me reti bhar de aur aise do thaili ek pipe ke end me baandhe to homemade barbell ho jaata hai.
और पढ़े :- 11 आसान तरीके भूख बढाने के
बॉडी बनाने के लिए आयुर्वेदिक दवा - Body Banane ke liye Ayurvedic Medicine
Sehat banane ke tips me yogya aahar khaaye, fresh air aur sunlight me rahe, vyasan-mukt rahe aur apne pachan ka khayal rakhe. Saath mein body banane ke liye ayurvedic medicine bhi le jo mas peshi ki vruddhi me sahayak hai.
- Ashwagandha churna, vidarikand, musli, shatavri churna ko ghee aur doodh me mila ke din me do baar sevan kare.
- Gajar ka ras, palak ka ras aur aise vegetable juice ka sevan bhi karte rahe.
- Ghee mein khajur aur gud mila ke khaaye. Gud aur til ka sevan kare.
और पढ़े :- जड़ी-बूटियों के सेवन से आसानी से बना सकते हैं अपनी बॉडी
Yeh body banane ke tarike ko discipline se apnana hoga tabhi jaake ek saal ke baad kuch result dikhai dega aur do saal me muscles ubhar aayenge.
TAGS : #body banane ka tarika #body growth tips in hindi #body banane ke tarike #body banane ke liye powder #body kaise banaye #body banane ke gharelu tarike in hindi #six pack banane ke tarike hindi me #body banane ke tips #body banane ke gharelu upay #body banane ke liye ayurvedic medicine #sehat banane ke tips #sehat banane ke tarike #sehat banane ke upay
*** Ye Bhi Padhe ***
हफ्ते भर मे बढ़ाए अपना वज़न ज़रूर करे try मोटा होने के उपाय
Easy and Effective Ways to Gain Weight in 7 Daysजड़ी-बूटियों के सेवन से आसानी से बढ़ा सकते हैं अपना वजन
इन चीज़ो से आसानी से वज़न बढ़ा सकते है लड़के
संतुलित आहार के जरिये आसानी से बढ़ायें वजन
तुरंत और जल्दी वजन बढ़ाने के तरीके
11 आसान तरीके भूख बढाने के
6 योगा टिप्स वजन बढ़ने के उपाय
बॉडी बनाने के लिए खाए ये बेस्ट 4 आहार
जाने ये 5 राज़ और बनाए बॉडी केवल 30 दिनो मे
बॉडी बनानी है तो जाने ये 8 मंतरा
Gharelu Nuskhe
37 Comments
shetty, Dec 17, 2016
thanks for sharing nice tips sehat banane ke tarike in hindi mai zarur apnaunga
sunil, Dec 19, 2016
gym ki tips bataye kuch
imran, Dec 22, 2016
thanku so much aapki site me bhut ache se body bnane ke upay btaye hue hai mai zarur try karunga
Rohit, Dec 23, 2016
jaldi body banane ke liye aur kya kare??
ankur, Dec 24, 2016
body banane ke liye powder bataye
Mohit, Dec 29, 2016
bahut ache se bataye hai body banane ka tarika thanx
Smithe545, Feb 09, 2017
Very informative post.Really thank you! Awesome.
Johne933, Feb 10, 2017
Very efficiently written information.
Johnd884, Feb 10, 2017
Thanks again for the blog post.Thanks Again. Cool.
Karan, Feb 22, 2017
Mota hona hai
राम फल, Jun 02, 2017
बॉडी बनान दे कोई तरीके तुहादे कॉल होंद ते सादे नाल वंडो
भरत राम, Jun 23, 2017
आप के आर्टिकल्स नाइस लगे|
suba me, Jul 10, 2017
dlCCXi Pretty! This was an incredibly wonderful article. Thanks for supplying this info.|
Ajinkya , Jul 16, 2017
Mai Armi ke kabil body banana chahtahu Plz Kuch upay doo
Ram Sanehi , Jul 27, 2017
body banane ke liye kya karna padega kya khaana padega jisse ki main apni body bana sakun mere ko bataiga main body banaane ka ichuak hoon umeed hai aap meri madad jarur karenge
विजेंदर, Jul 30, 2017
बॉडी बनाने के लिए किसी अच्छे ट्रेनर से मशवरा ले कर उसके कहे अनुसार उसकी बताई गई बातों का अनुसरण करते हुए कैसे खाना है कितना खाना खाना है क्या करना है और कैसे कैसे बस उसी तरह उसकी बताई गई बातों के निर्देश अनुसार चलोगे तो बॉडी बनाने में कोई समस्या ही नही आएगी
Suraj Bhaan , Aug 04, 2017
body banaane ke liye kya karna hoga jankaari ki mujhe jarurat hai main bahut hi patla hun pleej help me
मेहर बान, Aug 07, 2017
सही आहार खाना और समयसर खाना ज़रूरी है तो यह आप के बजट और टाइम मॅनेज्मेंट से जुड़ी है माइंडसेट भी चेंज करना होगा क्योंकि यह कामन है की लोगो को कई चीज़े खाना पसंद है और कई चीज़े खाना पसंद नहीं है दूध एक उत्तम सोर्स है प्रोटीन का. दूध, दही, पनीर का सेवन करे रोजाना 2 लीटर दूध पीने से भरपूर मात्रा मे प्रोटीन और केल्शियम मिलता है जो मासपेशी और हड्डी के विकास के लिए ज़रूरी है शुद्ध देसी घी ज़्यादा मात्रा मे खाएँ साथ मे 100 से 200 ग्राम काजू या अन्य तली बीज जैसे सिंघाड़े और तिल का सेवन करें|
अनिरुध, Aug 09, 2017
बाड़ी बनाने के नुस्खे और उपाए बताओ जिससे की मैं अपनी बाड़ी को अच्छी तरह से बना सकूँ
अशोक दानी, Aug 18, 2017
बाड़ी बनाने का और मेरी ग्रोथ भी हो जाए ऐसा कोई घरेलू नुस्ख़ा हो तो जानकारी देने के लिए मुझसे शेयर करें
विशाल भारद्वाज, Aug 24, 2017
मैं मोटा बनना चाहता हूँ पर कैसे बनू मुझे घर पर बैठ कर कोई ऐसा घरेलू नुस्ख़ा प्रदान करें जिससे मेरी बाड़ी की ग्रोथ बढ़ जाए और मेरा वजन बढ़ने के साथ साथ मैं मोटा भी हो जाउन|
Sumit Thakur, Aug 26, 2017
sir aapne jo bhi tarike bataye hain vo ekdam mast hain maine bhi inko try kiya hai aapki website par ekdum sahi tarika se bataya gaya hai Thanks
नाहर सिंग, Aug 27, 2017
बॉडी बनाने का उपाय पूच्छ रहा हूँ मैं अपनी बाड़ी कैसे बना सकता हूँ इसके मैं टिप्स जानना चाहता हूँ प्लीज़ बताओ
Karan Ahuja, Sep 08, 2017
Meri body bahut patli hai aur kai achcha sa Jim bhi mere ilake mai nahin hai mujhe kiya karna chahie ki jisse meri bady ban jaae please help me
Lukesh, Sep 20, 2017
There is visibly a bundle to identify about this. I feel you made some good points in features also. just another also
Ruchira Singh, Oct 03, 2017
Meri shaadi ko 5 saal ho gye hain lekin mera husband abhi bhi bahut kamjor hai please koi tarika btayen jisse main unko mota kar skun
Sunaina , Oct 05, 2017
Mere husband gym jaate hain wahan par koi ek powder diya hai unko khane ke liye wo kahte hain kiya wo supplement hai uska lekin mujhe dar lagta hai kya unka powder khana achcha hai ya bura yeh batao
Naina Kohli, Oct 09, 2017
Meri body to thik hai lekin main ander se bahut hi kamjor feel karti hun please aap koi tarika bata sakte hain ki main kaise apne aapko healthy feel kar sakti hun?
वेद प्रकाश, Oct 09, 2017
बॉडी बिल्डिंग के लिये अंडे से अच्छा कुछ नहीं हो सकता प्रत्येक अंडे में प्रति 6 से 8 ग्राम प्रोटीन सामग्री होती है और 0 प्रतिशत वसा होती है अंडे को हमेशा उबाल कर ही खाना चाहिये मसल्स बनाने के लिये आपको एक दिन में 5-6 अंडे तक खाने की जरुरत है अंडे में पाया जाने वाला प्रोटीन मसल्स बनाने में मदद करता है प्रोटीन के साथ-साथ कैल्शियम,आयरन और जिंक भी अंडे में पाया जाता है|
रोहन शर्मा , Oct 11, 2017
बॉडी बिल्डिंग के लिये अंडे से अच्छा कुछ नहीं हो सकता प्रत्येक अंडे में प्रति 6 से 8 ग्राम प्रोटीन सामग्री होती है और 0 प्रतिशत वसा होती है अंडे को हमेशा उबाल कर ही खाना चाहिये मसल्स बनाने के लिये आपको एक दिन में 5-6 अंडे तक खाने की जरुरत है|
निर्मल सिंग, Oct 14, 2017
चेस्ट के लिए सबसे असरदार एक्सरसाइज के नाम से मशहूर वर्कआउट है बेंच प्रेस जो वाकई सीने की मसल्स को काफी मजबूत बनाती है|
भावेश, Oct 21, 2017
मेरी बॉडी बहुत छोटी है मैं उसे ग्रो करना चाहता हूँ पर कैसे करूँ इसके बारे में मुझे कुच्छ नहीं पता प्लीज़ बताइए जिससे मैं अपनी बाड़ी को ग्रो कर सकूँ|
संतोष , Oct 21, 2017
बाड़ी बनाने के घरेलू नुस्खे उपाय और बाड़ी ग्रोथ करने के टिप्स बताएँ|
ख़लील अहमद, Dec 21, 2017
मेरा नाम ख़लील अहमद है मेरा शरीर बिल्कुल पतला है मुझे अपनी बाड़ी बनानी है मैं किया करूँ कोई दवा या कोई जड़ी बूटी है तो बताइए जिनसे मेरी बाड़ी बन जाए और या इस तरह का कोई घरेलु आसान तरीका बता सकते हैं तो आप ज़रूर बता दें|
Atul Chaudhary, Jan 13, 2018
Jaldi se jaldi body banane ki Vidhi kiya hai iske gharelu nuskhe aur upay bataiye?
भोला दत्त, Jan 29, 2018
बाड़ी ब्नाने के तरीके किया हैं मुझे आप घरेलू उपाय बताएँ और बाड़ी ग्रोथ के टिप्स भी दें जिनसे मेरी सही शेप में बाड़ी बन जाए|
anil, Dec 16, 2016
mai six pack abs banana chahta hoon plzz kuch upay bataye