Adho Mukha Vrksasana Kaise Kare : अधो मुखा व्रक्सासना कैसे करे और फायदे

Vriksh Jaise aakaash ki taraf badhta hai aise us ki daaliya fail jaati hai. Vriksha se prerit is aasan mein manushya ka sharir ek ped ya vriksha ka aakar le leta hai isiliye ise vrikshasan kaha gaya hai. Is ke maansik aur sharirik fayde hai agar aap ise niyamat roop se kare to aaiye jaane adho mukha Vrksasana kaise kare in Hindi.
Adho Mukha Vrksasana Kaise Kare: अधो मुखा व्रक्सासना कैसे
- Savdhan mudra apna ke khade rahe
- Ab dono pairo ko failaye
- Haatho ko sir ke upar uthaye aur sar ke upar haath ko seedha rakhte hue hatheliyo ko mila le
- Ab dahine pair ko mode
- Dahine pair ke talve ko baaye jaangh par tika de
- Baaye pair par sharir ka vajan aajayega
- Santulan banaye rakhe
- Sar aur kandhe ko ek hi seedh mein rakhe
- Ho sake tab tak is position ko hold kare
- Original position apnaye aur pair ko adal badal ke yeh asan phir se kare
Note: Jin mein gymnastic ability hai voh is aasan ko apne haatho par khade rehkar apne pairo ko hawa mai upar uthaye rakh ke bhi kar sakte hai magar yeh sabhi ke liye aasaan nahin hai. Agar aisa karna hai to aap haatho ke bal upar uthe tab ek diwal ka sahara le apne santulan banaye rakhne ke liye.
Dhyaan rakhe
- Ghutno mein taklif ho to savdhani se kare, kisi yoga visheshagya ke salah lekar
- Agar anidra se peedit ho to aap yeh aasan na kare
Vrksasana ke fayde : अधो मुखा व्रक्सासना के फायदे
- Kai logo ko nitamb ke aas paas charbi jama ho jati hai aur nitam bedol ho jaate hai. Un ke liye vrikshasan uchit hai
- Is aasan ke prayog se tanav se chutkara milta hai
- Sharir mein santulan badhti hai
- Pair majboot ho jaate hai.
TAGS : #Adho Mukha Vrksasana kaise kare #Adho Mukha Vrksasana karne ke fayde #Adho Mukha Vrksasana karne ke laabh #अधो मुखा व्रक्सासना कैसे करे फायदे #yoga kaise kare #yoga karne ke tarike #yoga karne ke fayde #yogasana karne ke fayde in hindi
*** Ye Bhi Padhe ***
Dhyan Mudra : ध्यान मुद्रा कैसे करे और उसके लाभ
Balasana Kaise Kare aur Fayde in Hindi : बालसना कैसे करे और फायदे
Bhujangasan Kaise Kare : भुजंगासन कैसे करे और उसके फायदे
Dhanurasana Kaise Kare : धनुरासाना कैसे करे और उसके फायदे
Padma Mayurasana Kaise Kare : पद्मा मयूरसाना कैसे करे और उसके फायदे
Utthita Parsvakonasana Kaise Kare : उत्थिता परसवाकॉनसाना कैसे करे और उसके फायदे
Adho Mukha Svanasana Kaise Kare: अधो मुखा सवनआसना कैसे करे और फायदे
Adho Mukha Vrksasana Kaise Kare : अधो मुखा व्रक्सासना कैसे करे और फायदे
Anantasana Kaise Kare : अनंत आसान कैसे करे और फायदे
Ardha Matsyendrasana Kaise Kare : अर्ध-मत्स्येन्द्रासन कैसे करे और फायदे
Rekha, May 21, 2017
i tried doing this pose and it took time but now i able to do much better with some support. its really helpful and healthy