Shighrapatan Ka ilaj(शीघ्रपतन का इलाज) - Shighrapatan ke Gharelu Upay

Shighrapatan ka ilaj in hindi : Yeh to jahir hai ki sex ka anand anokha hai. Magar jab stri aur purush sambhog kare to kuch samay tak yeh karya chalna chahiye jis se stri ko bhi charam seeka tak pahunch jaaye. Aisa hona jaruri hai nahin to phir stri chidchida svabhav ki ho jaati hai kyonki uska pati use santusht nahin kar sakta hai. Shighrapatan in English yaane ki premature ejaculation ke karan purush sambhog shuru karte hi ek hi minute ya to do minute mein skhalit ho jaata hai aur baat adhuri reh jaati hai. Aise haalat mein shighrapatan ka ilaj karvana jaruri hai. Jaaniye shighrapatan upchar in hindi magar us se pehle jaaniye shighrapatan kya hota hai. Aise to teenagers aur kam umra main shighrapatan hota hai magar kai mardo mein yeh badhte umar mein bhi pragat hota hai.
Shighrapatan kya hai
Kai aise karan hai jis ke vajah se purush aur stri jab sahvas karte hai tab purush jyaada der tak tik nahin sakta hai. Ek ya do minute mein hi us ka virya skhalan ho jaata hai aur voh na chahe to bhi baat vahin par ruk jaati hai yehi shighrapatan ke lakshan hote hai. Is se stri santushti anubhav nahin kar paati hai. Aise haalat mein purush ko shighrapatan ke gharelu upay in hindi jaankar avashya prayog karna chahiye jis se voh jyada samay tak sambhog kar sake.
सम्बंधित जानकारी
Shighrapatan ke karan kya hai
Shighrapatan ke karan in hindi: Shighrapatan ka desi ilaj shuru kare us se pehle jaane ki is ke peeche karan kya hai.
- Ek to karan yeh hai ki sambhog ke samay purush bahut hi uttejit ho jaata hai aur apne aap ko rok nahin paata hai.
- Tanav aur thakaan ke karan bhi yeh samasya khadi ho jaati hai.
- Sharirik ya naso ki kamjori ke karan shighrapatan ho sakta hai.
- Maansik karano se bhi shighrapatan ho sakta hai aur purush ko shighrapatan rokne ke upay jaroor try karna chahiye.
Shighrapatan se kya hota hai
Shighrapatan ki dawa jaruri hai kyunki sirf purush ke santusht hone se kam nahin chalega. Ilaj nahin karvane se kya hota hai?
- Purush ko apne aap par confidence yaane atma vishwan khalas hota jaata hai
- Patni ka svabhav chidchida ho jaata hai aur us ka man shaant aur prafullit nahin rehta hai.
- Aage jaake pati-patni ke rishte bigad jaate hai aur talak ka karan ban sakta hai.
शीघ्रपतन के इलाज के लिए प्राकृतिक तरीके
To kya yeh paristhiti permanent hai? Nahin. Agar aap shighrapatan ka desi ilaj in hindi padhenge to dekhenge ki aap apni karyakshamta badha sakenge. Aap chahe to doctor ke paas jaa sakte hai magar is ke liye koi allopathic dawai nahin hai. Shighrapatan ka gharelu ilaj hi fayda dega. Gharelu ilaj mein yeh prayog kare:
- Jab bhi sahvas kare to pehle kaafi samay premkrida mein pasar kare aur apne patni ko theek tarah se uttejit karne ke baad hi sambhog ka prarambh kare.
- Aise samay aur jagah par kare ki aap ko koi disturb na kare aur aap ke paas poora samay ho relax ho ke enjoy karne ke liye. Jaldbazi mein shighrapatan ho hi jaata hai.
- Jab bhi aap sambhog karte hai aur aisa lagta hai ki ab skhalan hone vaala hai to ruk jaaye aur apna ling bahar nikal de aur thodi aur us ke jad ko jor se dabaye aur phir thodi der ke baad hu aage badhe. Aise rukne aur aage badhne se kaam krida lambe samay tak chalane ki shakti aa jaayegi. Yeh shighrapatan rokne ke upay mein se ek asarkarak ilaj hai.
- Alag sex positions ka prayog kare. Aise prayog na kare jis mein uttejna badh jaaye. Missionary style aur woman astride style ka prayog kare.
- Aap ko kegel exercises karna chahiye. Ardha padmasan mein baith ke guda dwar ko sankuchit karne ka prayas kare. Is prayog ko 15 minute tak kare jis mein sankuchit aur dhila baari baari karna chahiye.
- Hastmaithun kare aur jab viryapat hone waala hai tab ruk jaaye aur ling ke mool ko jor se dabaye. Phir aage badhe aur phir ruk jaaye.
- Jab bhi aap kaam krida mein magna hai to lambe saans le aur dhyan ko kahin aur rakhe. Yeh shighrapatan ka gharelu ilaj aap ko fayda dega.
- Gulab ke phool ke patte, saunf aur elaichi khaane se bhi stambhan shakti badhti hai.
Gharelu shighrapatan upchar in Hindi aap padh rahe hai to is mein safalta ke liye aur bhi dhyaan dena hai:
- Sharab, tambaku aur nashili padarth ka sevan bandh kare
- Vyayam kare aur fit ho jaaye. Roj daude aur stamina badhaye to fayda hoga
- Saath mein paushtik aahar ka upyog kare jis mein poore praman mein fal, sabji, daal aur hari sabji ho jis se aap ko mile sabhi minerals aur vitamins.
- Tanav se mukt rahe.
Shighrapatan yoga
Yoga for shighrapatan in hindi: Aap chahe to shighrapatan yoga kar sakte hai. Shighrapatan treatment in Hindi aap padh rahe hai aur shighrapatan yoga is haalat ke liye faydemand hai. Sarvangasan karna mushkil nahin hai. Let jaaye aur phir sharir ko upar uthaye, pair hawa mein hone chahiye aur haath se kamar aur peeth ko support de. Halasan bhi shighrapatan ke liye faydakarak hai. Gomukhasan bhi aasaan hai aur asarkarak bhi. Is se aur aasaan hai vajrasana aur mandukasan. Yeh aasan 20 minute tak kare, voh bhi savere uth ke. Kapalbhati ka prayog kare is ke baad.
Kaunse aise khadya padarth hai jis ke khaane se sex power badhta hai? Jaaniye shighrapatan solution in hindi is maarg dwara:
- Khaane mein lehsun ka poora upyog kare. Saath mein hare mirch ka bhi upyog kare.
- Pyaj ke khaane se fayda hota hai
- Doodh peenese fayda hoga
- Gajar, tamatar aur kaddu ko khurak mein shamil kare
- Adrak ka ras, shahad aur nimbu ka ras savere sevan kare
- Pista, badam aur khajur ka sevan kare
- Kishmish ko paani mein gila kar ke raat bhar rakhe aur savere sevan kare
- Season mein jamun bharpoor khaaye
- Dalchini ka powder aur shahad ko mila ke chaate
- Tulsi ke patte aur tulsi ke beej ka sevan kare
- Bhindi khaane se sex power badhta hai
- Non-vegetarian foods jaise ki ande se bhi aap ko fayda hoga.
Shighrapatan treatment in hindi, jaise ki aap ne upar padha hai, mushkil nahin hai. Theek yehi raaste ko swapnadosh treatment in hindi ya swapnadosh ka ilaj bhi maan le.
Shighrapatan ka Ayurvedic ilaj in Hindi
Ab daale nagar ayurvedic jadi booti par jo aap ko jaroor fayda degi. Shighrapatan ka ayurvedic ilaj bahut hi labhkari hai aur yeh samasya na ho to bhi in jadi booti ka sevan karne se overall health bana rehta hai. Ayurvedic jadi booti jis ka aap sevan kar sakte hai voh yeh hai:
- Ashwagandha
- Shilajit
- Shatavri
- Kapilkachchu ya kavach ke beej
- Vidarikand
- Safed Musli
- Giloy
- Gokhru
In sabhi ke choorna ko mila ke doodh ke saath savere aur raat ko niyamit sevan karna chahiye shighrapatan ki ayurvedic dawa ka asar reproductive system par hota hai, central nervous system par hota hai aur circulatory system par hota hai. In sabhi systems ke health badh jaane se aapo aap aap ka shighrapatan ka problem door ho jaayega.
TAGS : #shighrapatan ka ilaj #shighrapatan ke liye yoga #shighrapatan ke gharelu upay in hindi #shighrapatan ka gharelu ilaj #shighrapatan ramdev baba #shighrapatan kaise roke #shighrapatan rokne ke upay in hindi #shighrapatan kya hai in hindi #shighrapatan rokne ke gharelu upay in hindi #shighrapatan treatment in hindi #shighrapatan ka ayurvedic ilaj #shighrapatan ka desi ilaj hindi me #shighrapatan ke upay in hindi #shighrapatan ka gharelu upay in hindi #shighrapatan ke lakshan #shighrapatan ka gharelu upchar in hindi
*** Ye Bhi Padhe ***
-
पेट दर्द का घरेलू इलाज अपनाए और पाए तुरंत छुटकारा पेट दर्द से
-
जानें क्या हैं डायबिटीज के लक्षण और घरेलू उपचार
-
Malaria ke Lakshan : मलेरिया के लक्षण और घरेलू इलाज
-
इन 4 घरेलू उपायों से सर्वाइकल स्पांडलाइटिस के दर्द से पाएं राहत
-
टायफायड (Typhoid) बुखार के कारण, लक्षण और घरेलू इलाज
-
डेंगू (Dengue) बुखार के लक्षण, कारण और घरेलू इलाज
-
जाने निमोनिया (pneumonia) के कारण, लक्षण और घरेलू इलाज
-
एचआईवी एड्स (HIV/AIDS) होने के लक्षण, कारण और उपचार
-
लो ब्लड प्रेशर/निम्न रक्तचाप के असरदार देसी घरेलू इलाज
-
जाने चिकनगुनिया के कारण लक्षण और घरेलू आयुर्वेदिक उपचार
Gharelu Nuskhe
2 Comments
Raman Singh , Aug 28, 2017
Hello sir main 29 saal ka hun main apni wife ko khush nhi rakh pata hun kyunki mera jaldi se shigrpatan ho jata hai please koi tarika btaye main bahut pareshaan hun
Naved, Feb 08, 2018
Thanks for sharing your post.