लहसुन के फायदे, नुकसान और सेवन की विधि
Garlic Benefits and Side Effects in Hindi

लहसुन के फायदे, नुकसान और सेवन की विधि <br>  Garlic Benefits and Side Effects in Hindi

लहसुन की कुछ टिप्पणिया
Lahsun ke Fayde in Hindi

 

  • High Blood Pressure ko control karne ke liye.
  • Sardi aur jukham ko thik karne ke liye.
  • Baal jhadne se rokne ke liye.
  • Lahsun ke labh vajan kam karne ke liye.
  • Bones ko strong karne ke liye.

 

लहसुन के बारे मे जाने
Know About Garlic

 

Lahsun hamare Indian cooking mein ek indispensable ingredient hai. Cooking mein yeh flavor aur taste badha deta hai aur lahsun swasthya ke liye bhi atyant upyogi hai. Poorte praman mein lahsun ka sevan kare to aap bimari se bache rahenge aur lambi umar tak healthy rahenge. 

Aam taur par lahsun ki kali ka upyog kiya jaata hai. Shardiyo mein aap ko iske patte bhi milenge jinke upyog chutney main kiya jaata hai. Agar aap ko rog se mukt rehna hai aur tandurasti banaye rakhna hai to lahsun ke fayde (लहसुन के फायदे) jaaniye aur bina koi hichkichahat lahsun ko khaate rahiye aur apne tvacha aur baalo ke liye bhi upyog kare. Agar aap bazaar mein talash karenge to lahsun ka powder bhi mil jaayega. Time ki kami se aap ko lahsun ki kali ke chilke nikalne mai taklif na lena ho to lahsun ka powder bhi istemal kar sakte hai. 

 

लहसुन के फायदे
Garlic Benefits in Hindi 

 

1. Lahsun khane se aap din bhar sfurtile rahenge. Lahsun mein rahe allicin sharir ko loh tatva shoshan karne mein help karta hai aur is se aap ke blood mein hemoglobin badhkar aap ko energetic rakhega. 

2. Lahsun mein cancer protection gun hai. Lahsun achcha antioxidant hai aur sharir mein se toxin bahar nikal deta hai jis se aap cancer se surakshit rahenge. Lahsun intestines ko saaf rakhta hai jis se toxins aap ko haani na kar sake. 

3. Lahsun khane ke fayde mein ek aur fayda hai ki aap dil ki bimari se bachenge aur aap ke sharir mein cholesterol ki matra kam ho jayegi. Blood vessel mein fat deposition nahin hoga aur blood pressure ka taklif bhi nahin hoga. Agar hai to yeh kam ho jayega. 

4. Badan mein dard ho to lahsun tel mein mila ke maalish karne se dard kam ho jayega. 

5. Thandi ke mausam mein bhi lahsun ke labh bahut hai. Thandi ke mausam mein lahsun sharir ko garmi deta hai. 

6. Lahsun se immunity badh jaata hai. Aap ka rog pratikarak shakti badhne se mausam ke badalne par jo flu aur bukhar aam taur par hota hai, is se aap bache rahenge. 

7. Agar aap ne dekha ho to jo sakht majoori karte hai voh lahsun, pyaaj aur mirch khaate hai. Lahsun khaane se aap ka stamina badhega aur aap dinbhar kadi mehnat kar sakenge. 

8. Garbhvati mahila lahsun ka sevan kare to uska aur hone vale shishu ka swasthya uttam rahega. 

9. Lahsun khaane se aap ke baal jhadne se ruk jaayenge

10. Sabji aur falo mein se iron ka absorption mushkil hota hai. Agar lahsun khaaye to sharir ko iron absorb karne mein aasaan ho jaata hai. Garlic ferroportin naam ka protein ki maatra ko badha deta hai. Yeh protein iron ko cells mein dakhil hone mein madadroop hote hai. 

 

लहसुन के उपयोग
Garlic Uses in Hindi

 

1. Lahsun ka upyog kai tarike se hota hai. Sabse jyaada upyog lahsun ka rasoi mein kiya jaata hai. Aahar mein lahsun taste aur flavor badhata hai. Lahsun ko aushadh ke roop mein bhi upyog kiya jaata hai.

2. Kache lahsun akele ya doodh mein ubal ke khaane se kai bimariyo mein raahat milta hai. Ghaav ya skin infection mein lahsun ka upyog kiya jata hai. Kesh mein agar rusi ho to lahsun upyogi hai. Lahsun ko tel mein mila ke jodo ke dard mein upyog kiya jaata hai. 

3. Lahsun ka fayda lena hai to pehle isko koot kar thodi de raise hi rakh chode. Is mein rahit alliin aballicin mein badal jaayega. Pakane ke pehle lahsun ko koot ke kam se kam 5 minute tak rehne de. Jyaada garam tel mein lahsun ko fry karne se is ke gunkari tatva ka naash hota hai aur lahsun ke fayde aap ko nahin milenge. 

 

लहसुन से उपचार
Garlic Benefits for Body Treatment in Hindi

 

Lahsun mai aushadhi gun hai. Agar koi choti moti bimari ho jaaye to aap lahsun se ilaj kare to parinam achche hote hai. Allopathic dawai se side effect hota hai. Lahsun se aap ka taklif mit jaayega aur saath mein sharir ka swasthya sudhar jaayega.  

1. Daanto mein agar dard aur sadan hai to lahsun ki ek kali chaba lene se turant aaraam milta hai. 

2. Tvacha par eczema, ringworm, fungal infection, seborrhoic dermatitis jaise rog ho jaaye to lahsun ka paste lagane se yeh sabhi taklif door ho jaayenge. Lahsun mein allicin compounds hai jo fungus aur bacteria ka naash karte hai. 

3. Benefit of garlic in empty stomach in hindi: Agar pet mein fungal infection ya bacterial infection ho to savere khaali pet lahsun ke do kali ko chaba ke khaa le. Doosra tarika hai lahsun ko doodh mein ubal ke pee le to E. coli, yeast aur anya infections door ho jaayenge. 

4. Agar aap ko high cholesterol hai aur blood pressure se bhi aap pareshan hai to is ka lahsun se ilaj kare. Savere khaali pet aap lahsun ke 2-3 kali chaba ke khaa le. Ek mahine mein cholesterol kam ho jayega. Lahsun mein rahit sulphur based allicin compounds aur sulfoxides khoon ko patla bana denge aur blood circulation ko improve karenge. Khoon ke thakke banne se lahsun rokta hai. Isi kriya se aap dil ki bimari se bach jayenge. 

5. Jinhe arthritis ho gaya hai voh lahsun se ilaj kare. Lahsun ka niyamit sevan kare. Lahsun ko pees ke sarson ke tel mein garam kar le aur chaan le aur yeh tel ko ghutno aur jodo mein maalish kare to kaafi raahat milega. 

6. Agar aap ko saans lene mein taklif hota hai, dama hai, ya phir shardi-jukham ho gaya hai to lehsun se ilaj kare. Lahsun ko doodh mein ubal ke doodh piye ya to lahsun ka chutney banaye aur sevan kare. Lahsun ka paste gale par, chaati par aur naak par lagane se bhi fayda hoga. 

7. Agar aap jyada vajan se pareshan hai to lahsun aap ka dost hai. Lahsun mein allicin, sulfoxides aur alliin tatva cholesterol ko banne se aur jama hone se rokte hai aur fat mein parivartan hone se bhi rokte hai. Lahsun mein paye gaye 1-2 vinyldithiin bhi vajan kam karne mein madadroop hai. 

8. Jinhe diabetes ho gaya hai unhe lahsun ka bharpoor upyog karna chahiye kyonki lahsun blood sugar level control karta hai. Kachcha lahsun hi behtar hai. Agar khaane mein daalna hai to lahsun ko jyaada na pakaye. Jab pakne aaya ho tabhi mila de. Behtar hai ki aap kachche lahsun ka chutney khaaye ya is ko salad mein grate kar ke dale. 

9. Ghav ho gaya hai aur khoon behta hai to lahsun khaane se bleeding bandh hoga. Lahsun ka paste lagane se bacterial infection nahin hoga. Agar soja aa gaya hai to lasan ka paste aur tel lagane se soojan kam ho jaayega. 

10. Flu ho gaya hai to lahsun se ilaj kare. 

11. TB ke mariz bhi lahsun se ilaj kar sakte hai. Unka immunity badhega aur davai ka achcha asar hoga. 

12. Garlic benefits for hair in hindi: Baalo ko kala karne ke liye lahsun se ilaj kare. Shahad mein lahsun ka ras mila ke savere pee le. Agar scalp mein infection hai to lahsun ka paste banaye aur sarson ya nariyal ke tel mein garam kare aur thanda hone par baalo ke jado mein mal de. Is se dandruff bhi ruk jayega aur baal majboot banenge. 

13. Chehre par muhase ho to lahsun ka paste banake lagaye aur ek ghante ke baad dho de. Lahsun ka paste banake 5-10 minute rakh chode aur phir is mein aap chahe to nimbu ka ras mila le. Dhyan rahe ki kabhi kabhi lahsun se jalan hoga isiliye pehle thodisi matra tvacha par lagake dekhe. 

 

लहसुन के नुकसान
Garlic Side Effects in Hindi 

 

1. Lehsun ke nuksan mein jaaniye ki jo savedanshil hota hai un mein allergy khadi hoti hai jaise ki saans lene mein taklif, sharir par fode aur gale mein soojhan jo gambhir ho sakta hai. 

2. Kachcha lehsun ko pees ke tvacha par lagaye to lehsun ka dushprabhav mein tvacha par fode ho sakte hai. 

3. Lehsun chaba ke khaye swasth badhane ke liye to ulta nuksan hota hai ki naak mein se aur masudho mein se khoon behne lagta hai. 

4. Lehsun ke dushprabhav mein ek hai ki sharir mein se aur saanso mein se lehsun ki badboo aaya karti hai. 

5. Jyada lehsun kha le aur agar lehsun maafik nahin aata hai to lehsun dushprabhav dast ho sakta hai. 

6. Lehsun kachcha khaye to lehsun dushprabhav mein gas aur ulti ho sakta hai. 

7. Lehsun nuksan kar sakta hai yakrut ko isiliye hamesha seemit maatra mein khaye. 

8. Lehsun khoon patla kar deta hai aur lehsun nuksan mein agar ghaav lag jaye to khon ka bahav rokna mushkil ho jaata hai. Khas kar ke operation karvana ho to lehsun ka sevan bandh kar de. 

9. Jin ko aant ki bimari hai voh lehsun khaye to lehsun ka dushprabhav hai ki aanto mein jalan paida kar sakti hai. 

10. Lehsun ke anya dushprabhav mein raktchaap kam ho jaana, pasina jyada hona, chakkar aana, sar mein dard, ankho mein taklif, addi ho sakte hai. 

TAGS : #garlic benefits in hindi #lahsun khane ke fayde #lahsun ke fayde in hindi #lahsun ke labh #lahsun for hair in hindi #lahsun ke nuksan #garlic for weight loss in hindi #garlic for cholesterol #lehsan in English #use of garlic in hindi #lahsun ke upyog #garlic and honey benefits in hindi #lahsun ka tel #garlic side effects in hindi #garlic benefits for men in hindi #lahsun khane se kya hota hai #lahsun se ilaj

Gharelu Nuskhe

Leave a Comment

Your Name *

Comment*

2 Comments

Mamta Singhaniya, Feb 12, 2018

लहसुन में सल्‍फर युक्‍त यौगिकों की मात्रा काफी होती है। इसमें पाएं जाने तत्‍वों में एक ऐलीसिन भी है। इसकी वजह से ही लहसुन में एंटी-बैक्‍टीरियल, एंटी-फंगल और एंटी-ऑक्‍सीडेंट खूब‍ियां होती हैं। लहसुन पर हुई एक रिसर्च बताती है कि लहसुन में मौजूद फाइटोकेमिकल्स पुरुषों की हेल्थ के लिए फायदेमंद है।

Dean harper, Apr 13, 2016

thanks for the information