जाने हस्तमैथुन के क्या क्या है नुकसान : Hastmaithun ke Nuksan

जाने हस्तमैथुन के क्या क्या है नुकसान : Hastmaithun ke Nuksan

Hastmaithun ke nuksan in hindi: Hastmaithun yoon to bura nahin hai. Is se aap ko sexual relief milta hai aur tension kam ho jaata hai. Avivahit aur vivahit, dono prakar ke log, mahila aur purush, kabhi na kabhi hastmaithun jaroor karte hai aur anand uthate hai. 

Hastmaithun ke tarike in hindi jaaniye. Purush sadharan taur par apke hatheli se ling ko gharshan deta hai ya to angutha aur ungli se ling ke chamdi ko aage peeche karke charam seema tak pahunch jaata hai. Vaikalpik taur par sex toys ka bhi upyog kiya jaa sakta hai. Isi tarah mahilao mein paaya gaya hai ki voh apne ungliyo ke sahari sex ma maza uthati hai. Unke liye clitoral stimulators aur dildo bhi uplabdh hai aur kai prakar ke vibrator bhi paaye jaate hai. Week mein 2 to 3 baar hastmaithun karne mein koi khatra nahin hai. Agar purush yeh maante hai ki viryapat se kamjori aati hai to yeh galat hai. Aise bhi is ka sharir se nikas hone hi vaala hai. Kisi bhi cheez ka atirek nuksan karak hota hai. Aise hi agar adhik hastmaithun kiya jaaye to hastmaithun ke side effects dikhai dete hai aur hastmaithun ke parinam hanikarak hote hai. 

Ayurved mein aur Chinese medicine mein yeh maana gaya hai ki virya ojas hai aur is ke skhalan se sharir mein tej kam ho jaati hai. Isiliye sambhog bhi week mein sirf ek baar karna uchit maana gaya hai. Agar kisi ko hastmaithun ki lat lag jaaye aur voh har roj ya din mein 2-3 baar hastmaithun kare to hastmaithun ke dushparinam pragat honge. 

Hastmaithun se Nuksan in Hindi

Ab aap jaaniye hastmaithun ke nukshan in hindi

  • Kisi bhi purush ya mahila hastmaithun mein uljhe rahe to svabhavik hai ki us ka dhyan sirf isimein kendrit rahega aur voh jeevan ke aur karyo mein dhyaan nahin de sakenge. Un ka energy kam ho jaata hai aur life mein achievement kam ho jaata hai. Sexual energy bahut powerful hai aur successful logo ne ise apne safalta mein parivartan kiya hai. 
  • Aisa maana jaata hai ki hastmaithin se naso mein durbalta aa jaati hai. Is baat mein sachchai to hai kyonki erection aur sexual pleasure ke liye aap apne dimag ko focus karte hai aur us par jor padta hai. Adhik baar aisa karne par nervous system mein durbalta ho jaati hai. Yeh hai hastmaithun ke side effect in hindi
  • Hastmaithun mein agar uljhe rahe to is ki lat pad jaati hai, jaise sharabi ko sharab ki lat. 
  • Agar din mein hastmaithun kare aur skhalit ho jaaye to phir aadmi ho ya aurat us ko doosre kaam karne mein interest nahin rehta hai. 
  • Aisa maana jaata hai ki adhik hastmaithun se sharir mein se calcium aur protein ki kami ho jaati hai aur sharir patla ho jaata hai aur haddi bhi kamjor ho sakti hai. Hastmaithun karne ke side effect mein sharirik kamjori ek hai. 
  • Hastmaithun karne ke nuksan mein se ek yeh hai ki aap opposite sex ke saath normal relationship banane mein safal nahin ho paayenge. 
  • Aise to hanikarak hastmaithun ke parinam kai hai magar ek jo hai voh yeh hai ki aap ko apne partner ke saath sex karne mein itna anand nahin milta hai jitna hastmaithun mein aur is se sambadh bigad jaata hai.
  • Hastmaithun ke atirek se purusho mein sperm ka health theek nahin hota hai, sperm count kam ho jaata hai aur apne wife ko pregnant karne mein vilamb hota hai. 
  • Kyonki hastmaithun direct aap ke brain par asar karta hai aur endorphins release hote hai to ek baat hai ki yeh aap ko addictive bana deti hai. Yeh hastmaithin ke dusparinam aap padh rahe hai. 
  • Agar aadmi ya aurat is karya mein jute rahe to unka samay ka vyay hota hai aur doosre kaam unke aise hi reh jaate hai. 
  • Jitna bhi hastmaithun karo aap ko sirf temporary relief milega. Apne partner ke saath sambhog karne jaisa anand kabhi prapt nahin hoga aur aap aur jyaada hastmaithun karne lagenge. Hastmaithun rokne ke upay in Hindi aap jaaniye to ek yeh hai ki vivahit jeevan jiye. 

Hastmaithun rokne ke upay

  • Jaroorat se jyaada hastmaithun ke dushparinam aap ne jaan liye. Kya yeh roka nahin jaa sakta hai? Hastmaithun se bachne ke upay aur hastmaithun rokne ke upay Hindi mein jaaniye. 
  • Pehle to aap ko drudh nischay lena hoga ki aap hastmaithun ko bilkul kam kardenge tabhi aap is lat ko chod sakenge. 
  • Jab aap akele honge tab aap ko jaroor vichar aayega aur hastmaithun karne ki ichcha hogi. Aise samay par drudh rahe aur jab bhi aise vichar aaye to koi na koi karya mein doob jaaye. Kuch nahin to bahar nikal ke walking par jaaye ya kisi friend ki company ki talash kare. Yeh ek hastmaithun se bachne ka upay hai. 
  • Hastmaithun ek addiction hai agar atirek hai to. Is se bachchne ke liye ran niti apnaye. Ek plan banaye ki aap apne aap ko kaise aur karyo mein laga ke rakhenge. Koi hobby apnaye jaise ki music seekhna ya to koi classes mein join hona. Jis vishay mein ruchi ho vohi pakde taaki aap us mein lage rahe aur hastmaithun se bache. 
  • Agar aap ne yeh hastmaithun rokne ke upay in Hindi aajmaaye aur safal rahe 15 din tak to phir jab ichcha jagrut ho to yeh na soche ki ek bar karne mein kya ho jaata hai. Yeh sochiye ki itne dino tak nahin kiya hai to ek aur din sahi. 
  • Kisi opposite sex vyakti ke saath friendship banaye aur ummeed rakhe ki yeh ek personal relationship mein parivartit hoga. Aap dekhenge ki jab aisa hoga to aap ko hastmaithun mein dilchaspi apne aap kam ho jaati hai. 
  • Aisa bhi dekha gaya hai ki yoga aur dhyaan hastmaithun se bachne ke upay mein uttam aur asarkarak sabit hue hai. Adhyatmik marg par chalne se apne aap yeh ichcha kam ho jaati hai. 
  • Porn or aise sambandhit sabhi material, ya to yeh kitab ke roop mein ho ya aap ke phone ya computer mein ho ya DVD ke roop mein ho, sabhi ko nikal de. 
  • Hastmaithun rokne ke upay in Hindi mein ab jaaniye ki kai logo mein yeh paristhiti itni aage badh jaati hai ki unko psychiatrist ka madad lena padta hai. Is mein koi sharm ki baat na samjhe. 

Abhi tak apne hastmaithun karne ke nuksan in hindi mein padhe.  Shayad hamare bujoorg in sabhi hastmaithun karne ke nuksan se vaakif the isiliye kam umar mein hi shaadi kara dete the. To aap bhi agar avivahit hai to life partner bana le tab aap dekhenge ki hastmaithun ek empty balloon jaisa hai, bahar se bada aur andar kuch bhi nahi. Relationship mein hi jindagi ka mayna hai.

TAGS : #hastmaithun ke dushparinam #hastmaithun ke side effect #hastmaithun rokne ke upay in hindi #hastmaithun ka nuksan in hindi #hastmaithun se bachne ke upay #hastmaithun karne ke side effect #hastmaithun ke parinam #hastmaithun karne ke nuksan #hand practice ka nuksan in hindi ​#hastmaithun ke nuksan hindi me

Leave a Comment

Your Name *

Comment*

2 Comments

Nigam, May 22, 2017

hastmaithun ko rokne ka ilaj yahi hai ki aap apne pe control kare aur apne opposite sex ke sath sex kare

Ishwar Sahu, Aug 09, 2016

yah tips mujhe bahut acha laga aur mai bahut happy hu