जानिए ग्रीन टी पीने के स्वास्थ्या लाभ और क्या है इसे पीने का सही समय

Green tea benefits (ग्रीन टी पीने के फायदे) : Jo chaai hum subah shaam aur din bhar peete hai use angrezi mein black tea kehte hai. Chai ke patte ko crush-tear-curl process karne par yeh black chai ban jata hai. Green tea voh hai jo ki simply patte ko kat ke sukaya gaya ho. Green tea mein antioxidant jyaada hota hai isiliye log health benefit ke liye green tea jyada pasand karte hai. Green tea benefits (ग्रीन टी पीने के फायदे) is mein rahe polyphenols dwara milte hai. Tea mein apigallocatechin gallate, theophylline, theanine, theobromine, epicatechins aur flavonols hai jo powerful antioxidants hai.
ग्रीन टी पीने के फायदे
- Green tea peene se sharir mai tazgi aati hai.
- Green tea peene se cancer hone ka khatra kam hota hai.
- Chehre ki jhurriya bhi kam hoti hai.
- Green tea peene se motapa bhi ghataya ja sakta hai.
- Green tea peene se tawacha nikharti hai.
- Green tea aapke daanto aur masudo ko mazbut banata hai.
India mein aam taur par log black tea ka upyog karte hai aur is ko doodh aur shakkar ke saath ubal kar din bhar peete hai. Doodh aur shakkar se is ke gun kam ho jayega. Aap ko jyada fayda chahiye chai se to green tea ka sevan kare. Is mein doodh na milaye to achcha hai. Nimbu ka ras, adrak, lemon grass aur shahad daal ke green tea peene se bahut fayda hoga. Kai log sirf green tea ko ubal kar is mein ek chutki namak daal ke peete hai. Yah aap ka choice hai. Green tea benefits in Hindi jaaniye aur ise apne jeevan ka saathi banaye. Swasth ke liye green tea bahut hi faydemand hai.
Diabetics ke liye green tea
Diabetes se peedit logo ke sharir mein toxins jyada jama hote hai aur is se energy kam rehta hai aur saath saath immunity kam ho jaata hai. Green tea benefit deta hai diabetes mein aap ke sharir mein se toxins ko bahar nikal ke. Yeh aap ka blood sugar level control mein rakhega aur din bhar aap santulit rahenge.
Green tea vajan kam kare
Din ka shuruaat kare green tea se. Behtar hai agar aap is mein adrak, nimbu ka ras aur thodasa kala mirch powder dale. Aap ka metabolism increase hoga aur vajan kam hone lagega. Din bhai jab bhi bhojan kare to isi tarah green tea saath mein lete rahiye.
Cancer se rakhe surakshit green tea
Green tea mein polyphenols hai jo powerful antioxidant ka kaam karte hai aur aap ke sharir ko andar se clean rakhenge. Is se aap cancer se bache rahenge. Green tea blood cancer, skin cancer, mutrashay ka cancer se aap ko bachake rakhega.
Wrinkles (jhuriya) se bachaye green tea
Green tea ko banane ke tarike anek hai. Ek din aap is mein pudina daal ke banaye aur doosre din aap adrak to teesre din dalchini aur chauthe din elaichi. Din mein 4 to 6 times green tea peene se ek fayda yeh hai ki aap ke chehre par jaldi se jhuriya nahin honge. Aap lambe samay tak jawan dikhenge.
Immunity badhaye green tea
Green tea mein rahe polyphenols aur vitamin C aap ke sharir ke andar ke free radical ko bahar nikal denge aur aap ka immune system ko strong bana denge. Immunity badhne se aap jaldi se jukham, bukhar aur khaansi ke shikar nahin banenge. Upar se raat mein neend achchi tarah aayegi.
Stress kam kare aur alert bhi rakhe
Office mein active logo ki aadat hai ki coffee peete rahe. Magar coffee mein caffeine ki matra adhik hai jis se aap ko acidity hota hai aur tanav badhta hai. Green tea aap ko mentally alert rakhega aur saath mein aap ko relax bhi kar dega. Chahe kitne bhi pressure mein aap kaam karenge magar green tea aap ke stress ko kam kar dega. Din ka shuruaat green tea se kare to aap din bhar energetic aur in control rahenge. Raat ko thoda sa green tea peene se stress kam hoga aur neend bhi achchi tarah aayegi.
High blood pressure ke like green tea
Green tea agar aap ko mentally relaxed aur stress se mukt rakhta hai to yehi gun aap ko high blood pressure se bhi bachake rakhte hai. Aap ko agar high blood pressure hai to green tea ka sevan shuru kare. Aap mehsoos karenge aap kitne relax ho jaate hai aur blood pressure bhi niyantran meinrehta hai.
Yakrut ko majboot banaye
Yakrut ke liye green tea benefits deta hai. Agar kisi ko liver transplant kiya gaya hai to recovery ke samay par green tea ka sevan karna chahiye to pratyaropan mein koi problems nahin honge. Green tea meinshamil catechins sharir mein se toxins ko nikal dete hai aur liver ko strong bana denge.
Depression mein gunkari green tea
Catechins ke saath green tea mein hai theanine. Caffeine bhi hai jo aap ko sfurtila aur energetic banata hai magar theanine hai jo is ko balance karta hai aur aap ko relaxed bhi rakhega. Agar aap coffee piyenge to depression badhta hai magar theanine aap ko calm aur santulit rakhega jis se depression door rahega.
Asthma ke liye green tea
Green tea peene se aap ko milega theophylline. Theanine ki tarah yeh bhi ek muscle relaxant hai. Asthma se peedit logo ke liye green tea benefit deta hai. Asthma ked aura kam ho jayenge.
Green tea tvacha aur kesh ke liye faydemand
Green tea peene se tvacha mulayam ho jayega. Aap green tea ko baalo mein bhi laga sakte hai to dandruff kam hoga aur chamak badhega.
Green tea kai tarah se aap ko fayde deta hai. Green tea benefit paane ke liye is ko sahi tarah se banaye. Sahi tarika hai ki paani ko ubale. Jab ubalne lage tab green tea ek chamach dale aur phir turant gas par se utar ke 10 minute tak bartan ko dhank ke rakhe. Is ke baad chaan kar green tea enjoy kare. Ubal ne se green tea kadva ho jayega aur tannins ki matra badh jayegi. 5-6 cup se jyaada din mein na peeye.
Yeh hai green tea benefits in Hindi. Green tea swasthya ke liye faydemand hai agar sahi samay par sahi matra mein le. Lambi umar tak aap rahenge young aur dimag bhi young aur tej rahega.
TAGS : #green tea in hindi recipe #how to make green tea for weight loss in hindi #benefits of green tea for skin in hindi #side effects of green tea in hindi #benefits of lemon tea in hindi #green tea hindi tips #black tea benefits in hindi #ग्रीन टी पीने के फायदे जरुर पढ़े
*** Ye Bhi Padhe ***
-
जाने दही खाने के 12 बेहतरीन फायदे और खूबियाँ
-
नींबू के छिलकों के 10 फायदे जरूर जाने
-
नींबू के बारे मे ये ज़रूरी है जानना
-
बादाम वाला दूध पीने के बेहतरीन फायदे
-
ये है बादाम तेल के असरदार फाय्दे ज़रूर जाने
-
जाने शहद का अधिक सेवन हो सकता है कैसे नुकसानदेह
-
जानें शहद के आश्चर्यजनक 25 स्वास्थ्य लाभ
25 Amazing Benefits of Honey in Hindi -
रहिए ईको-फ्रेंडली और ऐसे मनाए दीपावली बिना प्रदूषण
-
Cow Milk Benefits in Hindi : गाय के दूध के फायदे
-
Best Home Remedy for Cough : खांसी के लिए घरेलू उपचार अदरक, लहसुन और नमक
Gharelu Nuskhe
23 Comments
Nidhi, Apr 22, 2017
very healthy tips of drinking green tea
Rita, Apr 22, 2017
weigh loss helps in reducing cholesterol, diabetes... if u tea other drinks it really increase acidity and kill ur hunger...
Nisha, Apr 22, 2017
Aaj kal Green Tea pina ek status symbol hain aur bahut zaada chalan main hain..Green tea peene ke fayde bhi bahut hain... desh aur videsh har jagah iska bahut chalan hain... aaj ki generation tradaitional tea se door jaakar green tea ke chalan to apna rahi hain...isko peene se koi galat aadat bhit nahin padti bus gale aur shareer ko bahut labhdayak hoti hain...green tea bahut hi relaxing hoti hain jo shareer ko halka aur active rakhti hain... i recommend everyone to go for green tea...
Rakhi, Apr 22, 2017
chai bahut prakar ki hoti hain, jaise ki green tea, milk tea, red tea, black tea, white tea etc... but aaj kal green tea ka fashion aur trend hain
Gauri, Apr 22, 2017
Chai banani ki prakriya, (Green Tea preparing process) green tea ko banana bahut hi assaan hain... isme green tea ki leafs ko seedha garam paani mani daal kar banaya jaata hain aur milk ka use nahin hota... isse tea ka colour bhi change nahin hota aur nahi zaada taste... its like luke warm water with green leafs... |
Heena, Apr 22, 2017
Very nice tips. i use green tea and feel awesome always. it keeps u active always
Priyanka, Apr 22, 2017
no doubt green tea is best in all sense... 2-3 cups keep u healthy and active
Rishi, Apr 22, 2017
Best hindi green tea tips... maza aagaya padkar
Nidha, Mar 12, 2017
कब और कैसे पिएं ग्रीन टी?
Neha, Mar 12, 2017
Green tea khana khane se pehle peeye or baad mani??? aapke hisab se kitna per day green tea pee sakte hain
Garima, Mar 12, 2017
आज कल जिससे पूछो वो ग्रीन टी पीने के लिए बोलता हैं क्या इसका कोई लाभ हैं और बस ट्रेंड मैं हैं ग्रीन टी ??
Heena, Mar 12, 2017
ब्लैक टी और ग्रीन टी मैं क्या फ़र्क़ हैं और कौनसी पीनी चाहिए और कितनी बार??
Ashish, Mar 12, 2017
मुझे लगता हैं yeah सब कुछ बस ट्रेंड है होना वों कुछ ना हैं पहले ब्लाक टी ही बस सब बोलते थे उसके बाद ग्रीन टी और कुछ टाइम वाइट और रेड टी बोलेंगे... योगा करो और फ़िट रहो ओर हॉट वोटर लो फ़ोर गुड हेल्थ
Sana, Mar 12, 2017
ग्रीन टी हेल्प्स इन रेडूसिंग वेट और शरीर की चरबी... और बहुत आराम मिलता हैं पी कर .. पीकर तो ऐसा लगता हैं जैसे की या अंटी एजिंग टॉनिक हैं ग्रीन टी
Divya, Mar 12, 2017
मैंने सुना हैं ग्रीन टी सुबह खली पेट नहीं पीना चाहिया और मेडिसिन के साथ भी नहीं लेना चाहिए?? ऐसा क्य रासों हैं कुछ आप हेल्प करोगे ??
Sanaya, Mar 12, 2017
ग्रीन टी काफ़ी आरामदायक हैं और स्टैमिना बड़ाने मैं बहुत हेल्प करता हैं... ब्लड प्रेशर मैं भी हेल्प करता हैं
Dharmesh, Mar 12, 2017
ग्रीन टी लाइफ़ को लम्बा करने मैं बहुत हेल्प करती हैं और इसे पीने से वज़न भी कंट्रोल मैं रहता हैं क्योंकि इससे cholestrol भी काम होता हैं
Parminder, Mar 12, 2017
ग्रीन टी पीयो या कोई भी टी पीयो आपकी नींद और भूँक काम हो जाती है येअ इसका बहुत बड़ा नुक़सान हैं इसलिए ग्रीन टी को पीए ज़रूर बुत इसकी आदत ना पद जाए
Preet, Mar 12, 2017
ग्रीन टी पीने से नींद तो काम होती हैं और आपको कुछ खाने का भी दिल नहीं करेगा. और जिसका वज़न कम हैं उसका तो और वेट लॉस भी हो सकता है
Vinati, Aug 08, 2016
tulsi ke jankri dane ke leya thanks...........
Sunil singh kushwaha, Aug 04, 2016
Green Tea ke leya hamse khuli use kare tea bag nahi, yeh jadya asardar hai
Kaushalya, Mar 21, 2016
apke green tea benefits bahut aserdaar hain bahut badia
Vijaya, Apr 22, 2017
Benefits of Green Tea in Hindi - weightloss, slim body aur antiage aise fayde hain green tea peene ke...