दही खाने के अदभुत फायदे रोज़ खाए दही बहुत लाभकारी

Dahi ke fayde : North se South, East se West, sabhi Indians dahi ka sevan karte hai. Khaas kar ke Punjab aur North India main Dahi aur lassi to kafi matra mein upyog hota hai. Agar Punjabi aur Haryanvi tandurast hai to iska ek karan hai ki yahan dahi kafi matra mein upyog hota hai.
Ayurved dahi ko bhari manta hai aur aap dahi ko dopahar ya to pratah kal mein khana chahiye, raat ko kabhi nahin agar aap dahi ke faide chahte ho to. Dahi mein namak ya chini malake khana chahiye to dahi benefits (दही के लाभ) maximum hoga.
Dahi khane ke fayde
- Dahi se Motapa Kam Kare
- Migraine Theek Kare
- Balo ko Silky Kare
- Tavacha Ko Nikhare Dahi se
- Dahi se Hypertension Theek Kare
Dahi mein calcium, protein, lactobacillus, vitamin D aur B purva matra mein hai jis se aap ko protein milta hai aur calcium se bones bhi majboot bane rehenge. Jin ko doodh apachya hai, who dahi ka sevan asani se kar sakte hai. Jaaniye dahi ke fayde (दही खाने के फायदे) hindi me aur banaye ise aap ke harroj ke bhojan ka hissa.
Dahi Motapa kam kare: दही के लाभ
Dahi pachan sudharta hai, cholesterol ko paida nahin hone deta hai aur liver ka function improve karke aap ka metabolism improve karta hai. Is se aap motapa kam kar sakte hai. Dopahar ke khaane mein sirf ek large bowl dahi khaaye jis me jeera powder aur namak milaya ho. Agar aap chahe to ismein kakdi mila sakte hai. Agar indigestion hai to dahi mein jeera aur kala namak powder milake khane se improvement hoga.
Dil Aur hypertension
Cholesterol kam honese aap ka dil bhi majboot banta hai. Hypertension ko bhi niyantran mein aap rakhenge dahi ke rojinda sevan se. Dahi mein rahe lactobacillus intestines mein achche bacteria ban kar toxins to ekatrit nahin hone denge aur “kharab” bacteria to dho kar bahar nikal denge. Dahi se kabz mitega, pet saaf rahega aur iska direct asar dil aur blood circulation par hoga. Kyonki peet aur intestines saaf rehte hai to cancer ka risk bhi kam ho jata hai.
Sirdard (migraine)
Savere uthkar, khali pet dahi aur chini ka mishram roj ek mahine tak khaane se sirdard, khas karke migraine, bilkul kam ho jayega.
Dahi hai baalo ke liye uttam dahi
- Dahi khaane se baal ghane aur kale to honge hi magar aap baalo mein bhi dahi mal sakte hai aur bhi ise nikharne ke liye.
- Dahi ko bahar hi 3 ya 4 din tak rehne de. Ise baalo mein achi tarah lep kar adhe ghante tak rakhiye aur phir dho daliye. Dandruff aur khujli mit jayega aur baal hare bhare dikhenge.
- Dahi mein pyaz ka ras milake baalo mein achi tarah se mal de to baalo ka girna band hoga aur naye baa ka nirman hoga.
- Dahi mein heena ka paste ya to methi ke daane ka powder bhi milake laga sakte hai. Yeh dahi mishram hair conditioner ka kaam karega aur baalo ko purna poshan milega.
Dahi ke fayde tvacha ke liye
- Kudrati saundarya prasadhano mein dahi bahut aksir hai. Alag tarike se upyog kare aur dahi ke faide paaye.
- Oily skin mein dahi, multani mitti, haldi aur besan milakar lep karne se oiliness kam hoga, kale daag aur muhase mit jayenge. Narangi ka chilka paste banake bhi ismein daal sakte hai.
- Dry skin mein dahi aur haldi uttam hai. Dahi mein rahe lactobacillus tvacha mein se bacteria nikal denge aur tvacha hara bhara ho jayega. Saath saath wrinkles kam honge.
- Dahi, tamatar aur khira tvacha saaf karne mein upyogi hai aur aap ko ek glow denge.
TAGS : #दही के फायदे #दही खाने के फायदे #dahi ke fayde in hindi #dahi benefits in hindi #curd benefits in hindi #दही के नुकसान #दही खाने के लाभ #benefits of curd on face in hindi #benefits of curd in pregnancy #dahi benefits for hair in hindi #health benefits of dahi #दही के लाभ #dahi ka upyog #dahi ke nuksan
*** Ye Bhi Padhe ***
-
जाने दही खाने के 12 बेहतरीन फायदे और खूबियाँ
-
नींबू के छिलकों के 10 फायदे जरूर जाने
-
नींबू के बारे मे ये ज़रूरी है जानना
-
बादाम वाला दूध पीने के बेहतरीन फायदे
-
ये है बादाम तेल के असरदार फाय्दे ज़रूर जाने
-
जाने शहद का अधिक सेवन हो सकता है कैसे नुकसानदेह
-
जानें शहद के आश्चर्यजनक 25 स्वास्थ्य लाभ
25 Amazing Benefits of Honey in Hindi -
रहिए ईको-फ्रेंडली और ऐसे मनाए दीपावली बिना प्रदूषण
-
Cow Milk Benefits in Hindi : गाय के दूध के फायदे
-
Best Home Remedy for Cough : खांसी के लिए घरेलू उपचार अदरक, लहसुन और नमक
Gharelu Nuskhe
12 Comments
Isha, Apr 22, 2017
curd is superb by all ways. i cant drink milk but i ensure take one cup of curd daily and its great
sana, Aug 11, 2016
dry face m glow kaise aayega dahi kaise lagae jisse glow n soft rahe
Bina, Aug 09, 2016
Shikaai bhi use kar sakte hai
Sudena, Aug 09, 2016
thanks for shiney baal
Subhana, Aug 08, 2016
Dahi Lgane k baad Baal m shampoo krle to chipchipe ni hoge. Blki Bhtt shiny n soft lagegE
Hemangi, Jun 30, 2016
Garmi se bachne le liye subah dahi mei chini milkar khaye loo se bache aur body ko glucose bhi milega
shamita, May 07, 2016
apke dwara batae gae nuskhe bahut bariya hai thanx
neha, May 04, 2016
Dahi heart attack ki sambhavna ko bhi kam karta hai. Dahi me maujud gun hamare sharir me cholesterol ke level ko nahi badne dete. Yeh cholesterol ko niyantrit kar deta hai, jisse khoon halka aur uska prabhav gatisheel rehta hai. Jis wajah se heart attack jaisi gambhir bimari se nijat payi ja sakti hai.
Taniya, May 01, 2016
Kripya batain Heart Attack Me dahi kaise Faydemand hota hai aur dahi ka sewan kis prakar theek se kerna chahie.
anushka, Mar 19, 2016
dahi balon mein laga ke dhone se mere baal chipchipe ho jate hain bataea mein kya karoon
rajesh , Mar 15, 2016
I agree with this.
Shilpa Agrwaal, Jan 17, 2018
Pregnancy mai dahi khani chahiye Kiya...main 1 month se pregnant hun please bataiye?