Bay Leaf (Tej Patta) Benefits : तेजपत्ता के ये फायदे आपको हैरान कर देंगे

Bay Leaf (Tej Patta) Benefits : तेजपत्ता के ये फायदे आपको हैरान कर देंगे

Bay leaf benefits in hindi : Tej patta yaane Bay Leaf to garam masala ka ek ehem samagri hai jis ke bina pulao, biryani aur gravies mein chahiye aisa swad nahin hota hai. Bay leaf mein rahe eugenol aur myrcene hai jo khaane ka swaad badha dete hai aur saath mein swasthya ko bhi madadroop bante hai.  In ke alava bay leaf mein se aap ko milega essential oils jaise ki a-pinene, geranyl acetate, b-pinene, limonene, methyl chavicol, neral, linalool aur a-terpineol. Yeh sabhi tatva powerful antioxidant hai aur saath mein pachan ko badhate hai aur antiseptic bhi hai. Nutrition ki baat kare to bay leaf (tej patte) mein se aap ko vitamin C milega, folic acid, vitamin A, niacin, pyridoxine, pantothenic acid, riboflavin aur copper, magnesium, manganese, calcium, potassium, iron aur zinc. Magar, kyonki hum is ka bahut hi limited matra mein upyog karte hai to yeh minerals aur vitamins ke nutrition ke drashti se jyaada important nahin hai. Tej patte mein rahe essential oils aur flavonoids ka jyada mahatva hai. Jab bhi aap khaana pakaye to pulao mein, biryani mein aur curries mein bay leaf ka avashya upyog kare. Swad ke saath swasthya ke fayde honge. 

Tej patta bilkul alag hai kadi patte se. Kadhi patta jab fresh hota hai to usmein swad jyaada hota hai. Tej patte ki khasiyat hai ki jaise jaise yeh sookhta jaata hai, aise is ka swad badhta jaata hai. Isiliye tej patta tree ke sukhe patte ka upyog jyada hota hai. Bay leaf mein rahe tatva ke fayde bhi hai aur galat upyog kare to side effect bhi hone ki sambhavna hai. To jaaniye bay leaf benefits in hindi aur is ka sahi upyog kare apne fayde ke liye.

Bay leaf benefits for hair

Bay leaf ka ek upyog hai jo aap ko pasand aayega. Agar aap joo se pareshan hai ya aap ke ghar mein bachche hai jin ke baalo mein joo hai to bay leaf benefits for hai aap jaaniye. Yeh bina koi side effect ka treatment hai joo nikalne ke liye. Bay leaves ko achchi tarah masal kar choora bana de aur paani mein ubale. Paani ki maatra adha hone tak ubale. Ab ise thanda hone de aur phir chaan le. Is paani ko baalo mein laga ke rakhe aur upar ek cap ya plastic bag ko wrap kar de. Ek do ghante tak rakhne se sab joo mar jayenge. Kyonki un ke ande reh jaate hai aur in ka 3 din ka cycle hota hai to teen din ke baad phir se is kriya ko repeat kare. Aise teen baar karne se sar ke baalo mein se joo bilkul nikal jaayenge. Yeh hai bay leaf benefits for hair

Agar aap dandruff (rusi) se pareshan hai to bay leaf water ka upyog kare. Bas, baalo mein mal de aur phir adhe ghante ke baad dho le. Thodasa peene ka bhi rakhe to aur fayda hoga. Balo ka jhadna bandh ho jaayega.

Benefits of bay leaf water

  • Theek isi tarah bay leaf water bana ke bottle mein bhar ke fridge mein rakhe. Benefits of bay leaf water yeh hai ki agar diabetics is ka roj 2-3 chamach sevan kare to blood sugar level control mein rahega. Bay leaf for diabetes treatment asarkarak hai aur bina koi side effects ke. 
  • Doosra fayda yeh hai ki is mein rahe essential oils pet mein rahe kitanoo ko nash kar dega aur pachan tantra ko sudhar dega. 
  • Teesra fayda yeh hai ki yehi essential oils antioxidant ka kaam karte hai aur dil ko majboot bana denge. Agar ubalte samay gulab ke patte aur arjun chaal daal diya jaaye to aur bhi behtar hoga. 
  • Yehi bay leaf water ko thoda garam kar ke towel bhigo de aur ise gale aur chaati par rakhne se sardi jukham mein rahat hoga. 
  • Sardard bhi isi treatment se gayab ho jayega. 
  • Agar pimples se pareshan ho to yehi bay leaf water pimples par achchi tarah mal de. Roj raat ko yeh treatment karne se pimples kam ho jayenge. 
  • Bay leaf water peene se bhi inhi shikayato mein aaram milta hai. 

Insomnia – anidra

Insomnia ya anidra se aap pareshan ho to bay leaf water raat ko chai ke saath mix kar ke piye. Pet bhi saaf hoga aur need bhi sahi milega. 

Garbhvati mahilao ke liye

Garbhvati mahilao ko folic acid chahiye jo bay leaf mein poore praman main milega. Is ka powder kar ke masale mein mix karke sabji mein daal ke khaaye. Bachche ke janam ke baad bhi bay leaf ka upyog faydemand hai. Striyo ko masik dharm ka shikayat door karna ho to bay leaf ka upyog jaroor karna chahiye. 

Kidney problems ke liye

Jo kidney problems se pareshan hai unhe bay leaf ka upyog karna chahiye. Ya to bay leaf water banake roj is ka sevan kare ya to masala mein powder banake bay leaf khaaye to kidney stone aur burning sensation in urine khatam ho jaayega aur shigra aaram milega. 

Pet aur pachan ke liye

Tej patte mein jo essential oils aur enzymes hai voh pet ke garbad ko hata denge aur aap ko acidity mein aur kamjor pachan mein rahat dega

Gathiyo ka dard

Gathiyo ka dard ka ilaj hai bay leaf. Bay leaf ko bhigo ke paste banaye aur phir castor oil mein dheeme aanch par garam kare taaki is mein rahe essential oils arandi ke tel mein ghul sake. Is tel ko chaan le aur jahan dard hai vahan par raat ko maalish kare.  Is ka prayog hafte mein 4 din tak hi kare aur teen din upyog na kare. 

Daanto ke liye

Savere aur raat ko son eke pehle aap daanto ka manjan to karte hi honge. Toothpaste ke badle bay leaf powder, cinnamon powder, clove powder triphala power aur thodasa baking powder mila ke brush kare to peele daant safed honge aur bacteria ka bhi naash hoga. 

Ghaav bharne mein madadroop bay leaf

Bay leaf herb mein kai flavonoids hai jo ghaav ko protected rakhte hai, antiseptic ka kaam karte hai aur ghaav jaldi bharne mein kaam karte hai. Bay leaf ko bhigo de aur phir is par tel lagake thodasa khulle gas par garam kare. In patte ko ghaav ke upar rakh kar patti baandh de. Pimples aur boils par bhi yeh treatment achcha result deta hai. Sirf ghaav hi nahin, yeh aap ko fungal infections jaise ki ringworm, dermatitis aur eczema mein bhi bahut achcha result dega isiliye pehle is ka upyog kare aur is se na mite to phir antifungal cream ka upyog kare. 

Bay leaf ko hamesha aap ke khaane mein upyog kare to aap ko is ke phytonutrients aur flavonoids ka fayda milega. Is mein aap ko milega quercetin aur caffeic acid jo aap ko cancer se surakshit rakhega. 

Agar chehre par daag aur acne hai to tej patte ka powder narangi ke chilke ke paste ke saath milake chehre par lep kare. Adhe ghante ke baad dho le. Kaale daagh, acne aur wrinkles ke liye bay leaf bemisaal hai. 

Khaane mein kaise istemal kare?

Bay leaf uses in hindi: Aap chahe to bay leaf water bana ke rakhe aur chaval pakate samay aur sabji pakate samay thoda sa upyog mein le. Bay leaf aise hi tadka mein daal sakte hai. Bay leaf ka fayda poora chahiye to is ka powder banake sabji par daal ke pakaye ya to garam masala mein mix kar de. Agar aap ne sabut patte ka upyog kiya ho to serve karne ke pehle unhe nikal de. Kaha jaata hai ki yeh patte itne kadak hai ki yeh pet mein gaye to andar ka lining ko puncture kar sakte hai ya to intestines ko chil denge.

Bay leaf side effects

Koi bhi padarth ke bare mein poorna jankari hona jaroori hai. Bay leaf benefits and side effects ko dhyan mein rakh ke is ka upyog kare. Is mein bahut hi powerful essential oils hote hai jo jyaada liya jaye to negative effect kar sakte hai. To jaaniye bay leaf side effects: 

  • Bay leaf sabji mein ya pulao mein aaya ho to khana nahin chahiye kyonki is ka pachan nahin hota hai. Is ke naukile edges intestines mein ched kar sakte hai. 
  • Bay leaf for diabetes ka prayog agar aap karte ho to jaan na jaroori hai ki yeh blood sugar level par asar karta hai. Isiliye aap ko apna blood sugar level check karna chahiye aur agar dawai lete ho to us ka dose adjust karna chahiye nahin to hypoglycemia ho sakta hai. 
  • Bay leaf herb mein rahit essential oils aap ke nervous system par bhaari asar karte hai. Agar aap ko koi operation hone wala hai to is ka upyog bandh kar de. 
  • Tej patta plant mein rahe eugenol se thodasa irritation feel ho sakta hai pet mein aur lungs mein isiliye jyaada na le. 
  • Jyaada matra mein lene se bay leaf asthma ka karan bhi ban sakta hai isiliye minimum quantity mein hi upyog kare. 

To yeh hai bay leaf benefits and side effects. Bay leaf kabhi bhi kaam mein aa sakta hai isiliye ise ghar mein hamesha rakhe. Aap chahe to tej patta tree gher mein laga bhi sakte hai.

TAGS : #bay leaf benefits in hindi #tej patta benefits in hindi #bay leaves in hindi #curry patta #kadi patta #tej patta #bay leaf in hindi #names of spices #bay leaves uses #tej patta health benefits #bay leaf benefits for hair #bay leaf benefits and side effects #benefits of bay leaf water #bay leaf for diabetes #bay leaf tea #tej patta in english #bay leaves benefits #indian bay leaf #indian bay leaves #tejpata

Gharelu Nuskhe

Leave a Comment

Your Name *

Comment*

3 Comments

Seema , Feb 13, 2018

apke dwara bataye gaye tej patta ke fayde bahut badiya hai

sameer Singh, Feb 12, 2018

तेज पत्‍ता कॉकरोच को दूर भगानें में सहायक होता है। कॉकरोच को भगाने के लिए बाजार में कई सारे प्रोडक्ट्स पाए जाते है। जो के बेहद मंहगें और हमारे लिए तथा बच्चों की सेहत के लिए नुकसानदायक होते है। अगर कॉकरोच से परेशान है तो तेज पत्ते को जलाकर अपनी रसोई, गार्डन के कोनो में रखे और यह सेहत के लिए बिल्कुल भी हानिकारक नही होता है।

AnU, May 17, 2017

Helth welth & wise rahne ke liye kya kare